TELEGRAM CHANNEL

TELEGRAM CHANNEL
TELEGRAM CHANNEL

Youtube Channel Subscribe Plz

Most Popular Videos

Download Books

Quran-Roman||

Quran Roman English||

TafsirIbnKathir||

Quran-Urdu||

Yaseen Sharif Roman English||

Yaseen With Meaning||

Quran-Hindi||

Quran-English||

Sahih Bukhari||

Yaseen Telugu||

QuranRomanEnglish||

Daily Namaz Suras & Duas

Quran Audio

Subah Ke Azkar||

Monday, May 21, 2018

FAZAILE RAMZA Part 10 Or Part 11

┐✭  ﺑِﺴْــــــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّحْمٰنِﺍلرَّﺣِﻴﻢ ✭┌ 

      ╭•◆FAZAILE  RAMZAN◆•╮ 
      ❁❁❁❁❁❁❁❁❁❁❁❁❁❁

▓▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▓                                 
         ~ ⊙ PART-10 ⊙ ~
             ﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏

┌✭• Huzoor Sallallahu Alahi Wasallam ne farmaya 

” jis shakhs ne khud Ramzanul Mubarak me roza rakha, kuch khaya piya nahi, aur kisi momin par buhtaan bhi nahi lagaya aur is roze ki haalat me koi gunah bhi nahi kiya..

Allah Ta’ala ( Roze ki ) har raat me us ke liye 100 hooron se us ki shaadi karen ge.aur us k liye Jannat me lu’lu , yaqoot , aur Zabar Jad ka mahel banayen ge..

Agar tamam duniya ko us mahel me muntaqil kar diya jaye to yeh duniya me bakriyon ki jagah jitna nazar ayega.

⚀•RєԲ:➻┐
musnad Abu Ya’la ,

Hazrat Abu Hurairah RaziAllahu Anhu se riwayat hai ke Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ” 
jis ne roze ko farz samajh kar sawab ki ummeed ke saath rakha ,woh bakhsha gaya..

 ~ ⊙ PART-11 ⊙ ~

┌✭• ROZE KA AJAR WA SAWAB BE HISAB HAI

Hazrat Abu Hurairah RaziAllahu Taala Anhu kahte hai ke Huzoor Sallallahu Alaihi Vasallam ne Farmaya , 

“Allah azzawajal Farmate hai ke ibne Adam ka har amal uske liye hai siwae Roze ke, Roza mere liye hai aur mai hee iski jaza dunga 

Roza (Aag se) dhal hai lihaza jis roz Tumme se kisi ka Roza ho us roz wo Fahesh goe na kare aur behuda kalaami na kare aur agar koi dusra isse gali galoch kare ya ladaai kare to Rozedar ko (sirf itna kahena chahiye) mai Rozedar hu 

us zaat ki qasam jiske hath me Huzoor Sallallahu Alaihi vasallam ki jaan hai Rozedar ke muh ki kushbu Qayamat ke din Allah Tala ko Mushk ki kushbu se bhi zyada pasandida hogi 
Rozedar ke liye 2 khushiya hai jinse wo farhat hasil karega.

1.Jab wo Roza iftar karta to khush hota hai.

2.Jab wo apne Rabb se milega aur Roze ke badle me apne Rabb se inaam paega to khush hoga.

⚀•RєԲ:➻┐
    ↳ [ muktasar Sahih Muslim: 571 ]
▦══─────────────══▦

 ⚀⊙:➻┐
               📃→ pαdhє
       📿→ αmαl kαrє
👥→ duѕrσ tαk pαhσchαчє             

No comments:

Post a Comment

Please do not enter any spam link in the comment box.