TELEGRAM CHANNEL

TELEGRAM CHANNEL
TELEGRAM CHANNEL

Youtube Channel Subscribe Plz

Most Popular Videos

Download Books

Quran-Roman||

Quran Roman English||

TafsirIbnKathir||

Quran-Urdu||

Yaseen Sharif Roman English||

Yaseen With Meaning||

Quran-Hindi||

Quran-English||

Sahih Bukhari||

Yaseen Telugu||

QuranRomanEnglish||

Daily Namaz Suras & Duas

Quran Audio

Subah Ke Azkar||

Friday, September 1, 2017

HAJ KA MUKHTASAR TAREEQAH

▫ بِسْمِ ٱللهِ ٱلرَّحْمٰنِ الرَّحِيْم ▫

⭕AAJ KA SAWAL NO.1114⭕

Ayyam e hajj kon se hain ?

Ayyam e hajj mein kya kya kaam karne hote hain ?

Tafsil se batane ki guzarish.

🔵Jawab🔵

حامداؤمصلیا و مسلما

8, 9, 10, 11, 12 zilhajj ayyam e hajj hain.

Hajj ka pehla din 8 zilhajj hai. is roz apni qiyam gaah hi se haji gusal kar ke ahram bandh lenge. Ahraam ki nafal padhen aur haj ki niyyat se talbiyah padhte huve mina ki taraf  rawanah ho jayenge. Aur mina puhanch kar zuhar, asar, maghrib aur isha ki namazen apne khaime hi me ba jama'at adaa karen, kasrat se talbiyah padhte rahe. Raat mina hi me qayaam karna sunnat hai. 

Hajj ka dusra din 9 zilhajj hai. Is roz fajar ki namaz mina me padh kar maidaan e arafat ko rawangi hogi. Zawal ke baad wuqoof e arafat ka waqt shuru hoga. is waqt khoob ro ro kar apne gunahon se taubah ki jaye.hanfi haji zuhar aur asar ki namaz apne apne khaimon me us ke waqt me adaa kar le, aur apna waqt Allah ta'ala ko yaad karte huve aur apne aziz o aqarib aur apne watan e aziz ki salaamati ke liye ziyadah se ziyadah duaen karte huve guzare. Ghuroob aaftab ke ba'ad maghrib ki namaz padhe begair muzdalifah ko rawanah ho jaye. Muzdalifah pahuch kar maghrib aur isha ki namaz isha ke waqt me ek azan aur ek iqamat ke sath adaa ki jaye.magrib ki sunnaten isha baad padhe, Raat muzdalifah hi me guzare. Muzdalifah jaate huve waadi e muhassar ( jahaan abraha ka hathiyon ka lashkar tabaah huva tha) ke paas se guzrte waqt tezi se istaghfaar padhte huve guzar jaye.

Hajj ka teesra din 10 zil hajj hai. Muzdalifah me wuqoof ke ba'ad jis ka wajib waqt subah sadiq se Lekar tulooa e aaftab se pehle pehle kuchh der ka hota hai fajar ki namaz adaa kar ke mina rawana ho jaye aur Tulooe aftab se lekar guroobe aftab tak bahot bhid ho to sab ko warna aurton aur kamzoron ko subah sadiq se pehle pehle sirf jamarah e aqbah (bade shaitaan) ko kankaryan maarni hai . 70 Kankaryan raat ko muzdalifah hi se utha le. Bade shaitan ko saat (7) kankaryan ek ek kar ke maarni hai. Jamaraat ko kankaryan marne ko rami kahaa jata hai. Rami e jamraat ke ba'ad qurbani ki jaye. Qurbani karne ke liye behtar yeh hai ke saudi hukumat ke zere intezaam qurbani ki raqam muatabar hanfi contractar ko jamaa karvadi jaye. Khud qurbani kar sakta ho to zayada behtar hai Qurbani karne ke ba'ad ya us ki ittilaa milne ke baad sar ke baal mundwaye ya katarwa le, albattah aurten apne sar ki choti ke tamam balon ko milakar bal ko ek ungli ki pore -ek inch ke baraabar khud kaat le ya apne mahram se katwa len. Ab ahraam ki pabandiyan khatam ho jayegi sirf bivi halal na hogi  jab tak tawaf e ziyarat na kar len nahaa-dho kar apna aam libas pahan liya jaye. Is ke ba'ad agar himmat aur taaqat ho to isi roz warna 11, 12 zil hajj ko tawaaf e ziyarat ke liye makkah mukaramah chale jayen. Ziyadah behtar yeh rahta hai ke 11 zil hajj ko subah subah tawaf ziyarat ke liye makkah mukaramah chale jaye aur wahaan se wapasi me zawal ke ba'ad teeno jamaraat (teeno shaitaano ) ko saat saat (7-7) kankariyan marte huve apne khaimon me chale jayen.

 Tawaf e ziyarat 10 zilhajj se le kar 12 zilhajj tak ghoroob aaftab se pehle pehle tak kiya ja sakta hai.

Tawaaf e ziyarat ke ba'ad sayee bhi karni hogi. 10 zil hajj ka din guzar ne ke ba'ad raat mina hi me qayaam karna hoga.

Hajj ka chautha din 11 zilhajj hai. Mina me zawal se lekar guroob e aaftab tak behtar waqt ya subah sadiq se pehle jaiz waqt me jamarah e ulaa (chhota shaitan) fir jamarah e wustah (darmiyana shaitan) fir jamarah e aqbah (badaa shaitan) ko 7, 7 kankaryan ek ek kar ke marni hai . Raat ko mina hi me qayaam karna hoga. 

Hajj ka panchwan din 12 zilhajj hai. Mina me zawal ke ba'ad se gurube aaftab tak behtar waqt me ya subah sadiq tak jaiz waqt me teeno jamaraat ko tarteeb war ek ek kar ke saat kankariyan marni hain aur ghuroob  e aaftab se pehle pehle mina ki hadood (border) se bahir nikal jana behtar hai. Warna subah sadiq ho gai to phir mina hi me thehrna (qayaam karna) wajib hoga aur 13 zilhajj ko bhi rami e jamarat karni hogi.

Ayyam e hajj me agar kisi *aurat ko mahwari-m.c.:ayyam shuru ho jayen to woh hajj ke tamaam af'aal bajaa laave, siwaye tawaf e ziyarat ke, paak hone ke ba'ad woh tawaaf aur saee kare. Majburi me taakhir ki wajah se aurat par koi kaffarah nahin hoga. Rami mard aur aurat ko khud karna hogi . Watan rawaanagi se pehle tawaaf e widaa karna bhi zaruri hai.

📗Anware manasik,mualimul hujjaj me se khulasah

👏🏻Ye msg aap ke koi ta'alluk wala haj ko gaya ho to use zarur bhejen ho sakta hai ke ise padhkar usko haj me sahulat ho jaye.

و الله اعلم بالصواب

✏Mufti Imran Ismail Memon

🕌Ustaad e daarul uloom
Rampura surat, Gujarat, India

*हज का मुख़्तसर तरीकाः*

⭕आज का सवाल न.१११४⭕

अय्याम ए हज कोन से है ?अय्याम ए हज में क्या क्या काम करने होते हैं ?
तफ्सील से बताने की गुज़ारिश.

🔵जवाब🔵

حامدا و مصلیا و مسلما

८ ९ १० ११ १२ ज़िल्हज्ज अय्याम ए हज हैं. 

हज का पहला दिन ८ ज़िल्हज्ज है. इस रोज़ अपनी क़ियाम गाह ही से हाजी गुसल कर के अहराम बांध लेंगे. अहराम की नफल पढ़ें और हज की निय्यत से तल्बियह पढ़ते हुवे मीना की तरफ रवाना हो जायेंगे. और मीना पुहंच कर ज़ुहर असर मग़रिब और ईशा की नमाज़ें अपने खेमे ही में बा जमा'त अदा करें, कसरत से तल्बियह पढ़ते रहे. रात मीना ही में क़याम करना सुन्नत है. 

हज का दूसरा दिन ९ ज़िल्हज्ज है. इस रोज़ फजर की नमाज़ मीना में पढ़ कर जिस वक़्त भी मोअल्लिम ले जाये मैदान ए अराफात को रवानगी होगी. ज़वाल के बाद वुक़ूफ़ ए अराफात का वक़्त शुरू होगा. इस वक़्त खूब रो रो कर अपने गुनाहों से तौबह की जाये. हनफ़ी हाजी ज़ुहर और असर की नमाज़ अपने अपने खेमों में उस के वक़्त में अदा कर ले, और अपना वक़्त अल्लाह ता'अला को याद करते हुवे और अपने अज़ीज़ अक़ारिब और अपने वतन ए अज़ीज़ की सलामती के लिए ज़ियादह से ज़ियादह दुआएं करते हुवे गुज़ारे. ग़ुरूब आफ़ताब के बाद मग़रिब की नमाज़ पढ़े बग़ैर मुज्दलिफा को रवाना हो जाये. मुज्दलिफा पहुंच कर मग़रिब और ईशा की नमाज़ ईशा के वक़्त में अदा की जाये. एक अज़ान और एक इक़ामत के साथ रात मुज्दलिफा ही में गुज़ारे. मुज्दलिफा जाते हुवे वादी ए मुहासार जहां अब्रहा का हाथियों का लश्कर तबाह हुवा था) के पास से गुज़रते वक़्त तेज़ी से इस्तग़फ़ार पढ़ते हुवे गुज़र जाये.

हज का तीसरा दिन १० ज़िल हज है. मुज्दलिफा में वुक़ूफ़ के बाद जिस का वाजिब वक़्त सुबह सादिक़ के बाद से तलुए आफताब से पहले तक का होता है, फजर की नमाज़ अदा कर के मीना रवाना हो जाये, तलुए आफताब के बाद से सुबह सादिक से पहले पहले सिर्फ जमराह ए अक़बह (बड़े शैतान) को कंकरियां मारे. कंकरियां रात को मुज्दलिफा ही से उठा ले. बड़े शैतान को सात (७) कंकरियां एक एक कर के मारनी है. जमारात को कंकरियां मारने को रमी कहा जाता है. रमी ए जमरात के बाद क़ुरबानी की जाये. क़ुरबानी करने के लिए बेहतर यह है के सऊदी हुकूमत के ज़ेरे इंतज़ाम मुअतमाद आदमी को क़ुरबानी की रक़म जमा करवादी जाये. जो आप के रमी करने के बाद फोन पर इत्तेला पा कर क़ुरबानी करके आप को क़ुरबानी हो जाने की इत्तेला दे, क़ुरबानी करने के बाद सर के बाल मुंडवाए या कटवा ले अल्बत्ताह औरतें अपने सर की चोटी के तमाम बालों को मिलकर बाल को एक ऊँगली की पोर के बराबर खुद काट ले या अपने मेहरम से कटवा लें. 

अब अहराम की पाबंदियां ख़तम हो जाएगी, सिर्फ बीवी हलाल न होगी,  जब तक तवाफ़ ए ज़ियारत न कर लें, नहा-धो कर अपना आम लिबास पहन लिया जाये. इस के बाद अगर हिम्मत और ताक़त हो तो इसी रोज़ वरना ११ १२ ज़िल हज को तवाफ़ ए ज़ियारत के लिए मक्का मुकर्रम चले जाएँ. ज़ियादह बेहतर यह रहता है के ११ ज़िल हज को सुबह सुबह तवाफ़ ज़ियारत के लिए मक्का मुकर्रम चले जाये और वहाँ से वापसी में ज़वाल के बाद तीनो जमारात (तीनो शैतानो को सात सात (७-७) कंकरियां मारते हुवे अपने खेमों में चले जाएँ. तवाफ़ ए ज़ियारत १० ज़िल्हज्ज से ले कर १२ ज़िल्हज्ज तक ग़ुरूब आफ़ताब से पहले पहले तक किया जा सकता है. 

तवाफ़ ए ज़ियारत के बाद सई भी करनी होगी. १० ज़िल हज का दिन गुज़रने के बाद रात मीना ही में क़याम करना होगा.

हज का चौथा दिन ११ ज़िल्हज्ज है. मीना में ज़वाल से लेकर गुरूबे आफ़ताब तक बल्कि औरतों और बूढ़ो को और बहोत ही भीड़ में सब को सुबह सादिक तक जमराह ए उला (छोटा शैतान) फिर जमराह ए वुसताह (दरमियाना शैतान) फिर जमराह अक़बह (बड़ा शैतान) को ७ ७ कंकरियां एक एक करके मारनी है, रात को मीना ही में क़याम करना होगा. 

हज का पांचवां दिन १२ ज़िल्हज्ज है. मीना में ज़वाल के बाद से गुरुबे आफ़ताब तक अफ़ज़ल, और सुबह सादिक तक जाइज़ वक़्त में तीनो जमारात को तरतीब वार एक एक कर के सात कंकरियां मारनी है और सुबह सादिक़ से पहले पहले मीना की हदूद (बॉर्डर) से बाहिर निकल जाना है. वरना फिर मीना ही में ठहरना (क़याम करना) होगा और १३ ज़िल्हज्ज को भी रमी ए जमारात करनी होगी.
अय्याम ए हज में अगर किसी *औरत को माहवारी एमसी अय्याम शुरू हो जाएं तो वह हज के तमाम अफआल बजा लावे, सिवाए तवाफ़े ज़ियारत के, पाक होने के बाद वह तवाफ़ और सई करे. मजबुरी में ताख़ीर की वजह से औरत पर कोई कफ़्फ़ाराह नहीं होगा. रमी मर्द और औरत को खुद करना होगी, वतन रवानगी से पहले तवाफ़ ए वदा करना भी ज़रूरी है.

📗अनवारे मनासिक मुअल्लिमुल हुज्जाज 
किताबुल मसाइल में से खुलासा

ये मेसेज आप के कोई ताल्लुक़ वाला हज को गया हो तो उसे ज़रूर भेजें, हो सकता है के इसे पढ़कर उस को हज में सहूलत हो जाये.

No comments:

Post a Comment

Please do not enter any spam link in the comment box.