TELEGRAM CHANNEL

TELEGRAM CHANNEL
TELEGRAM CHANNEL

Youtube Channel Subscribe Plz

Most Popular Videos

Download Books

Quran-Roman||

Quran Roman English||

TafsirIbnKathir||

Quran-Urdu||

Yaseen Sharif Roman English||

Yaseen With Meaning||

Quran-Hindi||

Quran-English||

Sahih Bukhari||

Yaseen Telugu||

QuranRomanEnglish||

Daily Namaz Suras & Duas

Quran Audio

Subah Ke Azkar||

Friday, September 1, 2017

Qurbani ka waqt

▫ بِسْمِ ٱللهِ ٱلرَّحْمٰنِ الرَّحِيْم ▫

⭕Aaj ka Sawal no. 1116⭕

1⃣. Qurbani ke kon konse din hen ?

2⃣. Agar eid ki namaz ke baad khutbe se pehle qurbani kare to hogi ya nahi ?

3⃣. Qurbani ka waqt kab se shuru hota he ? 

4⃣. Shaher me ek jagah eid ki namaz hone se dusri jagah walo ko qurbani sahih he?? 

🔵JAWAB🔵

1⃣. Qurbani ke 3 din he
10 /11/12 zilhajj (12 ki guroobe aaftab pehle) baad me qurbani hanfiyah ke nazdeek motabar nahi he..
📚Kitabul masail 2/214 bahawala hindiyya wagera

2⃣. Eid ki namaz ke baad khutbe se pehle qurbani ki to sahih ho jayegi,
lekin aesa karna acha nahi he,
Behtar ye he ke khutbe ke baad hi qurbani ki jaye..

📚Kitabul masail bifaeqin yasir 2/215)

3⃣. Qurbani ka asal waqt 10 zilhaj ki subah sadiq se shuru ho kar 12 zilhaj ke suraj ke gurub hone tak rehta he,
Albatta jahan eid ki namaz hoti he (jese sheher, bada ganw)  waha eid ki namaz ke baad qurbani sahih hogi (us se pehle nahi)
Aur jaha eid ki namaz na hoti ho jese dihat, chhota gao waha subah sadiq ke baad qurbani sahih he.

4⃣. Agar shaher me kisi bhi jagah eid ki namaz hogayi to pure sheher walo ke liye qurbani karna durust he... 

📚Mustafad, Kitabul masail 2/216

و الله اعلم بالصواب

📝M. Ibrahim Alyani Sahab

✏Tasdeeq Mufti Imran Ismail Memon sahab 

🕌Ustaad e daarul uloom Rampura surat, Gujarat, India

No comments:

Post a Comment

Please do not enter any spam link in the comment box.