A'oozubiLLAAHi Minash shaitaa-nir Rajeem, BismiLLAAHir Rahmaanir Raheem
Tajdeed-e-eemaan: Laa-ilaaha-illAL-LAAHu-Muhammadur-RasooluLLAAH
24th Muharram, 1448 Hijri
"1" Ae logo! apne parwardigaar (ki naaraazgi) se bacho, aur daro us din se jab koi baap apne bete ke kuch kaam nahi aa sakega aur na kisi bete ki yeh majaal hogi ke woh apne baap ke kaam aaye. yaqeen jaano ke ALLAAH ka wa'adasachcha hai."{Surah-e-luqmaan:33}
"2" Aye logo ! zameen ki halaal paakeezah cheezein khaao aur shaitaan ke naqshe qadam par na chalo, yaqeen jaano ke woh tumhaare liye ek khula dushman hai."{Sura-e-baqarah:168}
"3" Jo shakhs dunya ko apna mahboob wa matloob banaayega, woh apni aakhirat ka zaroor nuqsaan karega."{Sho'bul imaan:10337}
_Source: Deeniyath, Mumbai, Perceptual Calendars (330th day)_
Sabhi ke liye du'a ki khaas guzarish, Ma-a's-SALAAM.





.jpg)


No comments:
Post a Comment
Please do not enter any spam link in the comment box.