Zakaat ki Niyat ka Hukm
Zakaat ki adaaygi ke liye niyat Ada e zakaat bhi zaruri he, Jis waqt zakaat ka
Rupiya vagera kisi mustahiq ko de, us waqt dil me ye niyat zarur kar lena
chahiye k me zakaat Ada karta hu’n,
Agar kisi ne yu’n kiya k Zakaat ki raqam hisaab karke alag karke rakhi k jab
mustahiq aa jaenge to deta jaunga, to ye niyat bhi kaafi ho jaegi, fir chahe
dete waqt niyat na kare,
Ba- Hawala— Sharah Bidaya, 1/180
Agar kisi mustahiq ko zakaat ka maal dete waqt Ada e zakaat ki niyat nahi ki
to jab tak wo maal us gareeb( Jisko zakaat di gayi) ke paas mojood he, us waqt
tak bhi niyat kar lena durust he, Ab niyat karne se bhi zakaat Ada ho jaegi,
Albatta faqeer ke paas se us maal ke kharch ho Jane ke baad niyat ki to us
niyat ka aitbaar nahi, Ab dobara zakaat dena padegi,
Ba- Hawala— Durre Mukhtar, 2/16,
No comments:
Post a Comment
Please do not enter any spam link in the comment box.