Maaldaar par Sadaqa e fitr kyun wajib hai.
🔵JAWAB🔵
Øامد Ùˆ مصلیا Ùˆ مسلما
Hazrat Abdullah bin Abbas Raziyallahu Anhu se rivayat hai ke Rasulullah
Sallallahu Alaihi wasallsam ne Rozo ko fizool v la’ayani aur Fahash baato ke
asaraat se paak saaf karne ke liye aur miskino mohtaajo ke khane ka bandobast
karne ke liye Sadqatul Fitr waajib qaraar diya hai,
📕 Sunan Abi Daoud,
Faayda: –
is hadees me sadqa e fitr ki 2 hikmate aur uske 2 khaas faydo ki taraf
ishara farmaya gaya hai,
Ek yeh ke musalmano ke jashn va masarrat ke is din me sadqa e fitr ke zariyah
mohtaajo miskino ki bhi shikam seri aur asoodgi ka intezam ho jayega,
Aur dusre yeh ke zubaan ki be-ahatyatiyo aur be-baakiyo se Roze per Jo bure
asraat padte honge yeh sadqa e fitr unka bhi kaffarah aur fidyah ho jayega,
★ Hazrat Abdullah bin Umar Raziyallahu Anhu se rivayat hai ke Rasulullah
Sallallahu Alayhi Wasallam ne musalmano me se har gulaam azaad per, har mard
aur Aurat per chhote aur bade per sadqa e fitr laazim kiya hai,
Ek saa’a khajoor ya ek Saa'a Jav (barley) aur hukm diya hai ke yeh sadqa e
fitr Namaz e Eid ke liye Jaane se pehle adaa kar diya jaye,
📗 Sahih Bukhari v Muslim
No comments:
Post a Comment
Please do not enter any spam link in the comment box.