A'oozubiLLAAHi Minash shaitaa-nir Rajeem, BismiLLAAHir Rahmaanir Raheem
AsSALAAMu 'alaikum wa RAHMATullaahi wa BARAKAATuh Bhai
Tajdeed-e-eemaan: Laa-ilaaha-illAL-LAAHu-Muhammadur-RasooluLLAAH
☀ 20th November, 2022
24th Rabi-us-s'aani, 1443 Hijri
"1" Jo cheez tumhein (Duniya wa aakhirat ke aitebaar se) nafa
ponhchaane waali ho, us ko koshish se haasil karo aur Allah se madad aur
taufeeq talab karo aur himmat mat haaro."(Muslim:6945)
"2" Jo shakhs shohrat ke liye koi kaam karega, to Allah Ta'ala us ke (aib
ko) mash'hoor kar dega."(Bukhaari:7152)
"3" Tum apni aulaad ki tarah apne maa-tahton (Naukar chaakar) aur Yateemon
ka ikraam karo aur jo tum khaate ho un ko bhi khilaao."(ibn-e-Maaja:3691)
_Source: Deeniyath, Mumbai, Perceptual Calendars (92nd day)_
Sabhi ke liye du'a ki khaas guzarish, Ma-a's-SALAAM.
No comments:
Post a Comment
Please do not enter any spam link in the comment box.