A'oozubiLLAAHi Minash shaitaa-nir Rajeem, BismiLLAAHir Rahmaanir Raheem
AsSALAAMu 'alaikum wa RAHMATullaahi wa BARAKAATuh Bhai
Tajdeed-e-eemaan: Laa-ilaaha-illAL-LAAHu-Muhammadur-RasooluLLAAH
☀ 19th November, 2022
23rd Rabi-us-s'aani, 1443 Hijri
"1" Jo shakhs museebat mein pareshaan aadmi ko tasali deta hai toh us
ko bhi us aadmi ki tarah sawaab milta hai."(Tirmizi:1073)
"2" Beshak gussa shaitaan ki taraf se hota hai, shaitaan aag se paida kiya
gaya hai aur aag ko paani se bujaaya jaata hai, lihaaza jab tum mein se kisi
ko gussa aaye to us ko wuzu kar lena chaahiye."(Abu Daaood:4784)
"3" Bure akhlaaq ; a'mal ko is tarah kharaab kar dete hain, jis tarah sirka
shahad ko kharaab kar deta hai."(Tabraani kabeer: 10777)
_Source: Deeniyath, Mumbai, Perceptual Calendars ( 91st day)_
Sabhi ke liye du'a ki khaas guzarish, Ma-a's-SALAAM.
No comments:
Post a Comment
Please do not enter any spam link in the comment box.