A'oozubiLLAAHi Minash shaitaa-nir Rajeem, BismiLLAAHir Rahmaanir Raheem
AsSALAAMu 'alaikum wa RAHMATullaahi wa BARAKAATuh Bhai
Tajdeed-e-eemaan: *Laa-ilaaha-illAL-LAAHu-Muhammadur-RasooluLLAAH
☀ 3rd October, 2022
6th Rabi-ul-awwal, 1443 Hijri
"1" Tum aapas mein ek doosre ke maal ko naa-haq tareeqe se mat khaao.
Magar jo maal aapas ki razaa-mandi se ki hui khareed-o-farokht (lain dain)
se haasil ho (toh us ko khaane mein koi haraj nahi)."(Sura-e-Nisa:29)
"2" Apni zabaan par qaabu rakho, (fursat ke auqaat mein) Apne ghar mein
raho, Apne gunaahon par Allah ke saamne roya karo."(Tirmizi:2406)
"3" ilm haasil karo aur ilm haasil karne ke liye sukoon aur waqaar
seekho."(Tabraani Ausat:6184)
_Source: Deeniyath, Mumbai, Perceptual Calendars (44th day)_
Sabhi ke liye du'a ki khaas guzarish, Ma-a's-SALAAM.
No comments:
Post a Comment
Please do not enter any spam link in the comment box.