A'oozubiLLAAHi Minash shaitaa-nir Rajeem, BismiLLAAHir Rahmaanir Raheem
AsSALAAMu 'alaikum wa RAHMATullaahi wa BARAKAATuh Bhai
Tajdeed-e-eemaan: *Laa-ilaaha-illAL-LAAHu-Muhammadur-RasooluLLAAH
☀ 11th October, 2022
14th Rabi-ul-awwal, 1443 Hijri
"1" Jo shakhs ALLAAH aur aakhirat ke din par Imaan rakhta ho, us Ko
chaahiye ke apne padosi ke saath ikraam ka mua'am'la kare."(Bukhaari:6018)
"2" Agar koi shakhs galati ya gunaah kare, phir us ka ilzaam kisi aur
be-gunaah ke oopar lagaade, to woh bada bhaari bohtaan aur khule gunaah ka
bojh apne oopar laad leta hai."(Surah-e-Nisa:112)
"3" Jab koi shakhs kisi Ko qarz de to woh apne qarzdaar se koi hadya qabool
na kare."(Mishkaat:2832)
_Source: Deeniyath, Mumbai, Perceptual Calendars (52nd day)_
Sabhi ke liye du'a ki khaas guzarish, Ma-a's-SALAAM.
No comments:
Post a Comment
Please do not enter any spam link in the comment box.