ZAKAT KI NIYYAT KE MASAIL
Jis waqt Zakat ka rupiya kisi Gareeb ko de, us waqt apne dil
main itna Zaroor khiyal Kar le ki "Main Zakat deta hun"
Agar ye Niyat nahi ki, yu hi de diya to Zakat Ada nahi huyi, dobara dena
chahiye aur jitna diya hai uska Sawab Alag milega.
Agar Faqeer ko dete waqt ye Niyat Nahi ki to jab tak wo
Raqam Faqeer ke paas hai us waqt tak ye Niyat kar lena durust hai, Albatta jab
Faqeer ne kharch kar dala to uske baad Niyyat karne ka Etbaar Nahi, dobara
Zakat De.
Kisi ne Zakat ki Niyat se kuch Raqam Nikal kar Alag Rakh
li ki jab koi Mustahiq Milega to use de dunga, Phir Jab Faqeer ko diya
us waqt Zakat ki Niyat karna Bhool gaya To bhi Zakat Ada ho gayi, Albatta Agar
Zakat ki Niyat se Nikal kar Alag Nahi rakha to Ada nahi huyi.
Agar Kisi ko Inaam(Prize) ke Naam se Kuch Diya magar dil
me yahi Niyat hai ki Main Zakat deta hun Tab bhi Zakat Ada ho Gayi.
*📓(Tasheel e Bahishti Zewar:1/407)*
*███████████████████████*
*━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━*
✍🏻 *MUFTI YASIR AMAN*
*QASMI*
*AHMEDABAD GUJRAT*
*______________________________________
No comments:
Post a Comment
Please do not enter any spam link in the comment box.