EID KI NAMAZ SPECIAL
NAMAZE EID KI TARKEEB
Eid Ki Namaaz Ki Niyyat
Main 2 Rakat Eid ul Fitr Ki Wajib Namaaz 6 Ziyada Takbir Ke Sath Imaam Ke
Pichhe Parh Raha Hun
1, Pehli Takbeer
Jab Imaam Pehli Takbeer Kahe To Dono Haath Kano Tak Uthaye or Hatho Ko Bandh
Kar SANA«subhanakallahumma» Parhe
2, Dusri Takbeer
Jab Imaam Sahab Dusri Takbeer Kahe To Haatho Ko Kano Tak Utha Kar Phir Chor
Dewe
3, Tisri Takbeer
Jab Imaam Sahab Tisri Takbeer Kahe To Haatho Ko Kano Tak Utha Kar Phir Chor
Dewe
4, Chouthi Takbeer
Jab Imaam Sahab Chothi Takbeer Kahe To Haatho Ko Kano Tak Uthaye Phir Bandh
Lewe
Phir Imaam Sahab Ke Saath Pehli Rakaat Dusri Namaazo Ki Tarah Ada Kare
Dusri Rakaat
Jab Imaam Sahab Pehli Rakat Puri Kar Ke Dusri Rakaat Shuroo Kare To
Imaam Sahab Ki Qirat Karne Ke Baad RUKOO Me Jane Se Pehle Imaam Sahab Takbeer
Kahennge
1, Pehli Takbeer
Jab Imaam Sahab Pehli Takbeer Kahe To Hatho Ko Kano Tak Utha Kar Phir Chhorh
Dewe
2, Dusri Takbeer
Jab Imaam Sahab Dusri Takbeer Kahe To Haatho Ko Kano Tak Utha Kar Phir Chhorh
Dewe
3, Tisri Takbeer
Jab Imaam Sahab Tisri Takbeer Kahe To Haatho Ko Kano Tak Utha Kar Phir Chhorh
Dewe
4, Chouthi Takbeer
Jab Imaam Sahab Chouthi Takbeer Kahe To
Sidhe Rukoo Me Chale Jayen
HATHO Ko KAANO TAK NA UTHAYE
Phir Dusri Namaazo Ki Tarah Imaam Ke Saath Apni Namaaz Puri Karen
Namaaz Baad Khutba Sune.
Khutba Sunna Bhi Wajib Hai
 Reference [ Hidaya Sharh e Waqaya Qudoori ]
 •RєԲ:➻┐
Tuhfa-e-ramazanuL
Mubaarak-162.
No comments:
Post a Comment
Please do not enter any spam link in the comment box.