*A'oozubiLLAAHi Minash shaitaa-nir Rajeem, BismiLLAAHir Rahmaanir Raheem*
*AsSALAAMu 'alaikum wa RAHMATullaahi wa BARAKAATuh Bhai*
Tajdeed-e-eemaan: *Laa-ilaaha-illAL-LAAHu-Muhammadur-RasooluLLAAH*
☀ 13th November, 2020
26th Rabi-ul-awwal, 1440 Hijri
"1" Hazrat Muhammad ï·º ne apni shahaadat aur beech ki ungli se ishaara
kar ke farmaaya: main aur Yateem ki parwarish karne waala Jannat mein is
tarah honge.(jis tarah yeh dono ungliyaan qareeb hain,usi tarah mein aur
Yateem ki parwarish karne waala qareeb honge)."(Bukhaari:6005)
"2" Tum apne bhai ki museebat par khush mat huwa karo, is liye ke ho Sakta
hai ke Allah Ta'ala us ki museebat khatm kar de aur tum Ko us museebat mein
mubtala kar de."(Tirmizi:2506)
"3" Itraana (akadna) bahot buri aadat hai."(Musnad-e-Ahmad:18530)
_Source: Deeniyath, Mumbai, Perceptual Calendars (85th day)_
No comments:
Post a Comment
Please do not enter any spam link in the comment box.