TELEGRAM CHANNEL

TELEGRAM CHANNEL
TELEGRAM CHANNEL

Youtube Channel Subscribe Plz

Most Popular Videos

Download Books

Quran-Roman||

Quran Roman English||

TafsirIbnKathir||

Quran-Urdu||

Yaseen Sharif Roman English||

Yaseen With Meaning||

Quran-Hindi||

Quran-English||

Sahih Bukhari||

Yaseen Telugu||

QuranRomanEnglish||

Daily Namaz Suras & Duas

Quran Audio

Subah Ke Azkar||

Sunday, September 20, 2020

Daily topic: ISHTIKHARAH KA TATEEQA, WAQT AUR DUA

Daily topic: ISHTIKHARAH KA TATEEQA, WAQT AUR DUA

Daily topic: ISHTIKHARAH KA TATEEQA, WAQT AUR DUA


⭕AAJ KA SAWAL NO.2228⭕

Istikharah ka kya mqsad hai aur us ka tareeqah aur dua bataye dua a

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا مسلما 

Istikhara ke ma'ana khair talab karne ke Aate he, yani Apne muaamla me Allah ta'ala se khair Aur bhalai ki dua kare)* 

Istikhare ka tarika nabi e karim ﷺne khud sikhaya he, Hazrat Jabirؓ  Farmate he Nabi e karim ﷺ hame Istikhara is tarah sikhate the jese Qur'an karim ki surah fir is ka tarika ye bayan farmaya ke:

2 Rakat nafal makrooh waqt ke alawa h kabhi bhi Namaz padhi jae, iske bad puri tawaj'joh ke sath ye dua padhe :

اللّٰہُمَّ إِنِّیْ اَسْتَخِیْرُکَ بِعِلْمِکَ وَاَسْتَقْدِرُکَ بِقُدْرَتِکَ وَاَسْئَلُکَ مِنْ فَضْلِکَ الْعَظِیْمِ، فَإِنَّکَ تَقْدِرُ وَلاَ أَقْدِرُ وَتَعْلَمُ وَلاَ أَعْلَمُ وَأَنْتَ عَلاَّمُ الْغُیُوْبِ، اَللّٰہُمَّ إِنْ کُنْتَ تَعْلَمُ أَنَّ ہٰذَا الْأَمْرَ خَیْرٌ لِیْ فِیْ دِیْنِیْ وَمَعَاشِیْ وَعَاقِبَۃِ أَمْرِیْ، أَوْ قَالَ عَاجِلِ أَمْرِیْ وَاٰجِلِہٖ فَاقْدُرْہُ لِیْ وَیَسِّرْہُ لِیْ ثُمَّ بَارِکْ لِیْ فِیْہِ، وَإِنْ کُنْتَ تَعْلَمُ أَنَّ ہٰذَا الأَمْرَ شَرٌّ لِیْ فِیْ دِیْنِیْ وَمَعَاشِیْ وَعَاقِبَۃِ أَمْرِیْ أَوْ قَالَ عَاجِلِ أَمْرِیْ وَاٰجِلِہٖ فَاصْرِفُہُ عَنِّیْ وَاصْرِفْنِیْ عَنْہُ وَاقْدِرْ لِیَ الْخَیْرَ حَیْثُ کَانَ ثُمَّ رَضِّنِیْ بِہٖ۔ قَالَ وَیُسَمِّیْ  حَاجَتَہٗ۔ ( Sahih Bukhari No: 1166, Sunan e Tirmizi 408, Sunan e Abu Dawood 1588)

Tarjuma : Ae Allah Me Aap ke ilam ke zarie khair ka talib hu, aur Aap ke kudrat se Takat Hasil karna chahta hu , Aur Aap ke Fazle Azim ka sail hu, be shak Aap qadir he aur me qudrat nahi rakhata , Aur Aap ko ilam he ke me la ilam hu , Aur Aap chupi hui bato se achi tarah waqif he. Ae Allah Agar Aap ilam ke mutabik ye kam ( yaha is kam ka tasawwur kare )* mere hak me dini,dunyawi,aur ukharawi Aetbar se ( ya filhal aur anjam kar ke Aetbar se ) behtar he, to ise mere liye mukaddar farmaiye , aur ise mere hakk me asani karke isme mujhe barkat se nawaze, aur agar aapko ilam he ke ye kam ( yaha kam ka tasawwur kare ) mere hakk me dini,dunyawi aur ukharawi Aetbar se ( ya filhal aur anjam kar ke Aetbar se ) bura he to isko mujh se aur muje is se hatade aur jis janib kher he vahi mere liye mukaddar farmade, fir muje is amal se razi karde.

Dua padhte hue jab (هذا الأمر)   par pahunche to dono jagah is kam ka dil dhayan jamae jiske liye istikhara kar raha he ( yani Aap apne rishte ki taraf ) ya dua puri padhane ke bad is kam ko zikr kare. Dua ke shuru aur aakhir me allah ki hamad aur tarif aur durud sharif bhi milalen, aur agar arbi me dua na padhi ja sake to urdu ya apni madri zuban me is mafhum ki dua maange.fir dil ka rujhaan aur mailan jis taraf ho woh kaam kar len

 (الدر المختار مع الشامي / باب الوتر والنوافل ۲؍۴۷۰ زکریا)فقط واللہ اعلم

Makhuz : Darul ifta jamiatul uloomul islamiyah binnori taun 

📑Fatwa No :143909201651

📗ISLAHEE KHUTBAT JILD 10 SAFA 126  SE MAKHOOZ

و الله اعلم بالصواب

🌙🗓ISLAMI TAREEKH : LFO 1442 HIJRI

✍🏻Mufti Imran Ismail Memon Hanafi

🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura Surat, Gujarat, India.

Ilami baat (msj) sikhaana (felana) ibadat se behtar hai

📲💻

http://www.aajkasawal.in
http://aajkasawal.page.tl

No comments:

Post a Comment

Please do not enter any spam link in the comment box.