NAMAZ KI PABANDI KARNE OR GUNAH CHHODNE KA NUSKHA
⭕ AAJ KA SAWAL NO.1753⭕
Hamne Ramzan me 5 waqt ki namaz ki pabandi barabar ki sur gunah se bachne ka arhtamam bhi kiya aur ramzan baad bhi pabandi ki niyyat ki lekin namazen rozana qaza ho rahi kisi kisi waqt ki padh leta hun aur baz gunah bhi shurooa ho gaye to namaz ki pabandi aur gunah chhodne ke liye kya karna chahiye?
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا و مسلما
Namaz wagairah ki pabandi ke liye aur gunsh chhodne ke liye hazrat hakeemul ummat mujadeede millat maulana ashraf ali thanwi Radeeyallahu anhu ne ek tadbeer-idea likha hai agar use dil par lekar amal kiya jaye to zaroor pabandi dobarah shurooa ho jayegi.aur gunah chhut jayenge.
Hazrat likhte hai jis ka khulasa hai ke koi bhi amal chhute ya koi gunah ho to apne upar jaani ya maali jurmana-penalty muqarar ki jaye to nafs sidha ho jayega.
Masalan jis roz meri fajr ki namaz qaza hogi to me 100 rs.sadqah karunga, har aadmi apni haisiyyat se paison ki itni miqdar tay kare jis ko nibha bhi sake aur nafs par bojh bhi pade.
📗MALFUZATE HAKEEMUL UMMAT SE MAKHOOZ
و الله اعلم بالصواب
🌙🗓ISLAMI TAREEKH :
03 SHAWWAL 1440 HIJRI
✍🏻Mufti Imran Ismail Memon Hanafi Chishti.
🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.
📲💻
🌍 http://aajkasawal.page.tl
🌍 http://aajkasawal.in
No comments:
Post a Comment
Please do not enter any spam link in the comment box.