TELEGRAM CHANNEL

TELEGRAM CHANNEL
TELEGRAM CHANNEL

Youtube Channel Subscribe Plz

Most Popular Videos

Download Books

Quran-Roman||

Quran Roman English||

TafsirIbnKathir||

Quran-Urdu||

Yaseen Sharif Roman English||

Yaseen With Meaning||

Quran-Hindi||

Quran-English||

Sahih Bukhari||

Yaseen Telugu||

QuranRomanEnglish||

Daily Namaz Suras & Duas

Quran Audio

Subah Ke Azkar||

Thursday, May 9, 2019

Ramzan:Aasaan Deen


︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽
    Bismillahirrahmanirrahim
︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾
              ︵︷︵︷︵︷︵︷︵
             ❀  Aasaan Deen  ❀
              ︶︸︶︸︶︸︶︸︶

                  ❥ Part - 80 ❥
❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂​​​​​​​​​​

❧ Huzoor ﷺ ki pyaari beti Hazrat Faatima RaziyAllahu anha bahot hi nek aur ibaadat guzaar theen, Aap ﷺ ne un ke mutaalliq farmaaya ke woh Jannat ki aurton ki sardaar hongi, woh itni badi fazeelat waali theen, magar woh apne kaam khud kiya karti theen, chakki peeste peeste haathon mein ghatte pad gaye the, paani ka Mashak uthhane ki wajah se gale mein nishaan pad gaya tha aur ghar mein jhaadu dene ki wajah se kapde maile hojaate the.

.
❧ Ek martaba Huzoor ﷺ ke paas kuchh gulaam aaye, to Hazrat Ali RaziyAllahu anhu ne Hazrat Faatima RaziyAllahu anha se kaha: Tum apne waalid ke paas jaakar ek khaadim maang lo, Hazrat Faatima RaziyAllahu ahna Huzoor ﷺ ke paas aayein, magar wahaan kuchh log baithhe huwe the, is liye waapas hogaeen....

  (..Next - 81, Soon In Sha Allah..)

No comments:

Post a Comment

Please do not enter any spam link in the comment box.