🌺Maah-e-Muharram-Ul-Haraam Aur Youm-e-Aashura🌺
💥Qist 1
💫Youm-e-Aashura zamaana-e-jaahiliyat mein Quresh-e-Makka ke nazdeek bada mohtaram din tha, isi din khaana-e-ka'aba par naya ghilaaf daala jaata tha aur Quresh iss din roza rakhte the. Qayaas ye he ke Hazrat Ibraheem Alaihissalam ki kuch riwaayaat iske baare mein un tak pohonchi hongi. Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ka dastoor tha ke quresh millat-e-ibraheemi ki nisbat se jo achche kaam karte the, un kaamon mein Aap unse ittefaaq-o-ishteraak farmaate the. Isi bina par hajj mein bhi shirkat farmaate the. Apne isi usool ki bina par Aap, quresh ke saath aashura ka roza bhi rakhte the; lekin dusron ko iska hukm nahi dete the; phir jab Aap Madina Tayyiba tashreef laaye aur yahan yahood ko bhi Aap ne aashura ka roza rakhte dekha aur unki ye riwaayat pohonchi ke ye wo mubarak tareekhi din he, jis mein Hazrat Moosa Alaihissalam aur unki qaum ko Allah Tabarak Wa Ta'ala ne najaat ataa farmaayi thi aur fir'on aur uske lashkar ko garq-e-aab kiya tha, to Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne iss din ke roze ka zyaada aehtemaam farmaaya aur musalmanon ko bhi umoomi hukm diya ke wo bhi iss din roza rakha karen. [Bukhaari : 1/481]
Ba'az hadeeson mein he ke Aap ne iska aesa taakeedi hukm diya jaesa hukm faraaiz aur waajibaat ke liye diya jaata he. Chunaancha, Bukhari-o-Muslim mein Salma Ibne Akwaa aur Rabee' Binte Mu'awwiz Ibne Afraa se marwi he ke Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne youm-e-aashura ki subah Madina Munawwara ke aas paas ki un bastiyon mein jin mein ansaar rehte the, ye ittela bhijwaayi ke jin logon ne abhi tak kuch khaaya piya na ho, wo aaj ke din roza rakhein; aur jinhone kuch kha pee liya ho, wo bhi din ke baaqi hisse mein kuch na khaaein balke rozedaaron ki tarah rahen; ba'ad mein jab Ramazaan-Ul-Mubaarak ke roze farz hue, to aashura ke roze ki farziyat mansookh hogayi aur iski hesiyat ek nafl roze ki reh gayi. [Bukhari Shareef : 1/268, Muslim Shareef : 1/320]
Lekin iske ba'ad bhi Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ka ma'mool yahi raha ke Aap Ramazaan-Ul-Mubaarak ke farz rozon ke alawa nafli rozon mein sab se zyaada isi roze ka aehtemaam farmaate the, jaesa ke hadees aage aarahi he. [Ma'arif-Ul-Hadees : 4/168]
((...Jaari...))
🌺ماہ محرم الحرام اور یوم عاشورہ🌺
💥قسط 1
💫یوم عاشورہ زمانہ جاہلیت میں قریشِ مکہ کے نزدیک بڑا محترم دن تھا، اسی دن خانہ کعبہ پر نیا غلاف ڈالا جاتا تھا اور قریش اس دن روزہ رکھتے تھے، قیاس یہ ہے کہ حضرت ابراہیم علیہ السلام کی کچھ روایات اس کے بارے میں ان تک پہنچی ہوں گی، رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم کا دستور تھا کہ قریش ملتِ ابراہیمی کی نسبت سے جو اچھے کام کرتے تھے، ان کاموں میں آپ ان سے اتفاق واشتراک فرماتے تھے، اسی بنا پر حج میں بھی شرکت فرماتے تھے، اپنے اس اصول کی بنا پر آپ قریش کے ساتھ عاشورہ کا روزہ بھی رکھتے تھے؛ لیکن دوسروں کو اس کا حکم نہیں دیتے تھے، پھر جب آپ مدینہ طیبہ تشریف لائے اور یہاں یہود کو بھی آپ نے عاشورہ کا روزہ رکھتے دیکھا اور ان کی یہ روایت پہنچی کہ یہ وہ مبارک تاریخی دن ہے، جس میں حضرت موسیٰ علیہ السلام اور ان کی قوم کو اللہ تبارک وتعالیٰ نے نجات عطا فرمائی تھی اور فرعون اور اس کے لشکر کو غرقاب کیا تھا تو آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے اس دن کے روزے کا زیادہ اہتمام فرمایا اور مسلمانوں کو بھی عمومی حکم دیا کہ وہ بھی اس دن روزہ رکھا کریں- [بخاری : ۱/۴۸۱]
لیکن اس کے بعد بھی رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم کا معمول یہی رہا کہ آپ رمضان المبارک کے فرض روزوں کے علاوہ نفلی روزوں میں سب سے زیادہ اسی روزہ کا اہتمام فرماتے تھے، جیسا کہ حدیث آگے آرہی ہے- [معارف الحدیث : ۴/۱۶۸]
((...جاری...))
📜پیشکش : سسٹرز ان اسلام گروپ
📜Pesh Kash : Sisters In Islam Group
FIQHI MASAIL
Official channel for masail
By Mufti Huzaifa Palanpuri db
https://t.me/MasailByMuftiHuzaifaPalanpuri
@فقہی مسائل@
مسائل از مفتی حذیفہ پالنپوری
https://t.me/KatabahuHuzaifa
No comments:
Post a Comment
Please do not enter any spam link in the comment box.