┐✭ ﺑِﺴْــــــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّحْمٰنِﺍلرَّﺣِﻴﻢ ✭┌
✴☛ JUMMA KA DIN KE ASAR SE MAGRIB TAK KARNE WALE KHAAS AMAL JO HUZOOR ﷺ KE FARMAN SE HAI.
『❶ 』. DAROOD SHARIF KA PADHNA.
╭•◆•Jo insan Juma ke din Asar ki Namaz ke baad Apni jagah Se Uthne se Pehle 80 Martaba Darood padhe to uske 80 saal ke Gunah maaf ho jayenge aur 80 saal ki ibadat ka sawab likh diya jaata hai.
Woh Darood ye hai↴
اللهُمَّ صَلِّ عَلَى مُحَمَّدِنِ النَّبِيِّ الأُمِّيِّ وَعَلَى
آلِهِ وَسَلِّمْ تَسْلِيْمًا
╭•◆•Darood↝ "ALLAHUMMA SALLI ALAA MUHAMMADI NIN NABIYYIL UMMIYYI WA ALAA AALIHI WA SALLIM TASLEEMA "
☛📒 ° [ Fazaile Darood,Tabrani] °
╭•◆•Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se Marvi hai k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad Farmaya :-
"__Jo Shakhs Juma ke Din Assi ( 80) Martaba mujh per Darood bheje Uske Assi ( 80) Saal Ke gunaah maaf Kar diye Jayenge _"
Arz Kiya gaya :- Ya Rasulallah ! Aap per kese Darood padha jaye ?
Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :- Yu'n Kaho
"Allahumma Salli Alaa Muhammadin Abdika Wa Nabiyyika Wa Rasoolikan Nabiyyil Ummiyyi "
☛📒 ° [ Ravaah Addaare Qutni] °
『❷』KHOOB DUA KA KARNA AUR DUA KA QUBOOL HONA
╭•◆• Mahfum-e-Hadees: RasuLuLLah ﷺ Ne Farmaya Jumma Ke din ek aisi ghadi hai ke agar koi musalman use paakar ALLAH ta’ala se kuchh maange to ALLAH ta’ala use zaroor ata karega aur wo ghadi mukhtasar hai.
☛📒 ° [ Sahih Muslim, Jild –1, Safa –281 ] °
Abu hurairah razi allahu Ta'ala anhu se rivayat hai ki Rasoolullah ﷺ ne farmaya jumma mein ek ghadi aisi aati hai ki jo musalman bhi us waqt khada namaz padhe aur Allah se koi khair maange to Allah usko jarur dega
☛📒 ° [ Sahih Bukhari, Jild 6, 5294 ] °
╭•◆Jabir Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah SalLallahu Allahu alaihi wasallam ne farmaya jumma ka din 12 ghante ka hai jisme koi momeen banda Allah subhanahu se kuch mange to Allah usko jarur ata farmate hai , tum log usko asar ke baad aakhri waqt mein talas karo
☛📒 ° [ Sunan Nasaii, Vol 1,1392-Sahih ] °
╭•◆•Mahfum-e-Hadees
Anas bin malik Razi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoolullah ﷺ ne farmaya Jumma ke din (dua qubul hone ki) wo mubarak ghadi ko Asar aur gurub e aaftab (yani magrab ) ke darmiyan talash karo
☛📒 ° [ Jamia Tirmidhi , Jild 1, 471 ] °
╭•◆• Mahfum-e-Hadees: RasuLuLLah ﷺ Ne Farmaya jo Shakhs Jumma ke din Asar se Magrib Tak Masjid me Rahe Use Umre ka Sawab milta he
☛📒 ° [ Nasai ] °
╔┅┅┐
◉ ⚀⊙:➻┐
📃→ pαdhє
📿→ αmαl kαrє
👥→ duѕrσ tαk pαhσchαчє
No comments:
Post a Comment
Please do not enter any spam link in the comment box.