💢❄💢❄ ﷽ 💢❄💢
╂─────────────────╂
🕋 SAWALAAT-E-HAJJ 🕋
╂─────────────────╂
┗────┯ posт ղo☞26
✧⇝❥Haji Se Duaa Karane Ki Kiya Fazeelat Hai Aur Haji Ki Duaa Kab Tak Qabool Hoti Hai....?
★➻ Ek Hadees Me Aaya Hai Ke Mujahid Aur Haji Allah Ka Wafd, Jamat Hai, Jo Mangte Hai Woh Unko Milta Hai, Jo Duaa Karte Hai Qabool Hoti Hai.
Hazrat Umar Razi Allahu Ta'Ala Anhu Se Naqal Kiya Gaya Hai Ke Haji Ki Bhi Allah Ke Yahan Se Magfirat Hai. Aur Haji 20 Bees Rabee_Ul_Awwal Tak Jis Ke Liye Duaa E Magfirat Kare Us Ki Bhi Magfirat Hai,
Purane Buzragon Ka Mamool Tha Ke Woh Hajiyon Ko Rukhsat Karne Bhi Jate The Aur Unka Istiqbal Bhi Karte The Aur Un Se Duaa Ki Darkhast Karte The,
📗Fazaile Haj Safa 25 Hadees No.8
❁〰〰〰〰〰〰〰〰❁
✧⇝❥Hajiyon Ko Haj Ke Mavqea Par Hadiya Tohfa Dene Ka Kiya Hukm Hai....?
👉 Agar Ikhkas Ke Sath Ho Rasam Ke Taur Par Zaruri Samjhe Bagair Diya Jaye To Jaiz Hai,
📗Fatawa Raheemiyah Se Makhooz
🎁 Hadiya Ka Hukm Niyyat Ke Aitbaar Se Badal Jata Hai.
1.Agar Hadiya Badla Lene Ki Niyyat Se Diya Jaye To Qarz Hai,
2.Agar Kaam Karaane Ke Baad Diya Jaye To Ujrat-Mazdooree Hai,
3.Agar Kaam Karane Se Pehle Diya Jaye To Rishwat Hai,
4.Agar Sawab Hasil Karne Ki Niyyat Se Diya Jaye To Sadqah Hai,
📔 Adab_Ul_Muaasharat
➻Allah Taala Hum Sab Ko Apni Hasiyat Ke Muwafiq Aapas Me Muhabbat Badhane Ki Niyyat Se Hadiye Ka Len Den Karne Ki Taufeeq Ata Farmaye.Aameen
📮☞ Next Post Bhahut Jald In Sha Allah
https://chat.whatsapp.com/DO6zL9zZqxY7qt1GgBeQhK
💢❄💢❄💢❄💢❄💢
No comments:
Post a Comment
Please do not enter any spam link in the comment box.