. بِسْمِ الْلّٰهِ الْرَّحْمٰنِ الرَّحِيْم
.❣◑Bismillahirrahmanirraheem◐❣
. ╰┄┅┅┅┅┅┅┅┄۞┄┅┅┅┅┅┅┅┄╯
*Qurbani ka irada'h karne wale Hazrat Zill Hajj ka chand nazar aane se pehle hi baal aur nakhoon kaatne se farigh ho jaye'n*
Jin Hazrat ne qurbani ka jaanwar zibah karne ki niyat ki huyi hai unke liye mustahib hai ke jaise hi *Zill Hajj ka chand nazar aaye to apne jism ke kisi bhi hisse ke baal aur nakhoon na kaate'y jab tak qurbani ka jaanwar zibah nahi ho jaye.*
📖 Sahih Muslim - 1251
◼Ummul Momineen Umee Salma Radi Allah Anha Kehti Hai'n Ke Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya : Jis ke paas zibah karne ke liye jaanwar ho aur zill hijja'h ka chand nazar aa jaye to apne baal aur nakhoon na kaate'y , jab tak qurbani na kar le'n...
📖 Abu Dawood - 2791
◼ Ummul Momineen Sayyda'h Umme Salma Radi Allah Anha Bayan Karti Hai'n Ke Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya "Jis ke paas koi jaanwar ho jise woh ( Qurbani ke liye ) zibah karna chahta ho to Zil Hijja'h ka chand nazar aa jane ke baad apne baal aur nakhon hargis na kaate'y hatta ke qurbani kar le'y."
📖 Abu Dawood - 2789
◼Sayydna Abdullah Bin Amru Bin al Aas Radi Allah Anhma Bayan Karti Hai'n Ke Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Ne Farmaya "Mujhe Azha ke din ke mutalliq hukm diya gaya hai ke use'y bataur Eid manao jaise ke Allah Azzwajal ne us ummat ke liye khaas kiya hai. Ek aadmi ne kaha : Farmaiye ke agar mujhe doodh ke jaanwar ke siwa koi jaanwar na mile to kya mai uski qurbani kar du ? Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya "Nahi" balki apne baal kaat lo' nakhoon aur munche'y taraash lo aur zere naaf ki safai kar lo. Allah ke haa'n tumhari yahi kamil qurbani hogi..
╭┄┅◐═══◐══♡◐♡══◐═══◐┅┄╮
Join Qur'Aan-o-Sunnat⇓
. +91 8888430626
♡Amin Palekar♡
╰┄┅┄┅┄┅┄┅┄┅┄╯
No comments:
Post a Comment
Please do not enter any spam link in the comment box.