💢❄💢❄ *﷽* 💢❄💢
╂─────────────────╂
*🕋 SAWALAAT-E-HAJJ 🕋*
╂─────────────────╂
┗────┯ *posт ղo☞20*
*✧⇝❥Hajj ka muqammal tariqa kya hai...??*
*➻Hajj Ka Bhahut Aasaan Tariqa Bata Raha hun, Aap bhi Padhe Hajj par jaane wale hazrat ko bhi bataiye,*
☞ Hajj Ke 5 Din , Pehla Din – 8 Zilhijja
✯ Aaj Tulu Aftaab Ke Baad Haalate Ahraam Me Sab Hajiyo Ko Mina Jana He, Mufarrid ( Jiska Ahraam Sirf Hajj Ka He ) Aur Qareen ( Jiska Ahraam Hajj Aur Umrah Dono Ka He ) Unke Ahraam Pehle Se Bandhe Hue He, Mutmatta ( Jusne Umrah Karke Ahraam Khol Diya Tha ) Aur Isi Tarah Ahle Haram Aaj Hajj Ka Ahraam Baandhe,
✯ Sunnat Ke Mutabiq Gusl Karke Ahraam Ki Chadre Pehan Le, Ahraam Ke Liye 2 Raka’At Padhe Aur Hajj Ki Niyat Karke Talbiya Padhe,
⇨ Talbiya Padhte Hi Ahraam Shuru Ho Gaya,, Ab Ahraam Ki Tamaam Pabandiya Laazim Ho Gayi ( Jo Pehle Guzar Chuki He ),
✯ Iske Baad Mina Ko Rawana Ho Jaye,
⇨ Mina Makka Mukarrama Se 3 Meal Ke Faasle Per 2 Tarfa Pahado Ke Darmiyan Ek Bahut Bada Maidan He, 8 Vi Tareekh Ki Zuhar Se 9 Vi Tareekh Ki Subeh Tak Mina Me 5 Namaze Padhe Aur Is Raat Ko Mina Me Qayaam Karna Sunnat He, Agar Is Raat Ko Makka Mukarrama Me Raha Ya Arafaat Me Pahunch Gaya To Makrooh He,
☞ Hajj Ke 5 Din, Doosra Din – 9 Zilhijja – Kist -1 ✦
✯ Aaj Hajj Ka Sabse Bada Rukn Yani Waqoofe Arafa Ada Karna He, Jiske Bager Hajj Nahi Hota,
✯ Tulu Aftaab Ke Baad Jab Kuchh Dhoop Fel Jaye Mina Se Arafaat Ke Liye Rawana Ho Jaye Jo Mina Se Takriban 6 Meal He, Mina Se Arafaat Ke Liye Rawana Hote Waqt Talbiya, Tehleel, Takbeer, Dua Aur Darood Padhte Hue Chale,
⇨ Fir Jab Jable Rahmat Per Nazar Padhe ( Jo Maidane Arafaat Me Ek Pahaad He ) To Tasbeeh, Tehleel V Takbeer Kahe Aur Jo Chahe Dua Maange,
✯ 9 Vi Zilhijja Ko Zawaal Ke Baad Subeh Sadiq Ke Darmiyani Hisse Me Ahraame Hajj Ki Haalat Me Agar Thodi Si Der Ke Liye Bhi Arafaat Me Thehar Jaye Ya Waha Se Guzar Jaye To Hajj Ho Jayega,
✯ Agar Us Waqt Me Zara Der Ke Liye Bhi Arafaat Na Pahuncha To Hajj Nahi Hoga,
☞ Hajj Ke 5 Din, Doosra Din – 9 Zilhijja – Kist -2 ✦
✯ Mustahab Ye He K Zawal Ke Baad Gusl Kar Le Aur Iska Moqa Na Mile To Vaju Kar Le Aur Waqt Ki Ibtida Me Namaz Ada Karke Waqoof Shuru Kar De,
✯ Sunnat Tareeqa Ye He K Zuhar Aur Asr Ki Namaz Ikatthi Amire Hajj Ki Iqtida Me Padhi Jaye,
⇨ Yani Asr Ko Bhi Zuhar Ke Waqt Me Padh Le, Waha Jo Badi Madjid He Jisko Masjide Namra, Isme Imaam Dono Namaze Ikatthi Padhata He, Lekin Chunki Har Shakhs Waha Pahuch Nahi Sakta Aur Sab Haji Isme Shamil Nahi Ho Sakte Aur Bager Amire Hajj Ki Iqtida Ke Dono Namazo Ko Jama Karna Bhi Durust Bhi Nahi He,
⇨ Isliye India, Pak, Bangladesh, Afghanistan Vagera Ke Hanafi Ulma Hajiyo’N Ko Yahi Fatwa Dete He’N K Wo Apne Apne Khemo Me Zuhar Ke Waqt Me Aur Asr Ke Waqt Me Ba-Jama’At Padhe Aur Namazo Ke Alawa Jo Waqt He Use Zikr V Dua Aur Talbiya Me Lagaye,
☞ Waqoof E Arafaat -1✦
✯ Zawal Ke Baad Se Guroob Tak Poore Maidane Arafaat Me Jaha Chahe Waqoof Kar Sakte He’N, Magar Afzal Ye He K ‘” Jable Rahmat “, Jo Arafaat Ka Mashoor Pahaad He, Uske Qareeb Jis Jagah Huzur Sallallahu Alaihivasallam Ne Waqoof Kiya Tha, Us Jagah Waqoof Kare,
✯ Bilkilul Us Jagah Mumkin Na Ho To Jitna Usse Qaeeeb Ho Behtar He,
Lekin Agar ” Jable Rahmat” Ke Paas Jane Me Dushwari Ho Ya Watalashe Waqt Apna Khema Talash Karna Mushkil Ho To Apne Khemo Me Waqoof Kare,
✯ Behtar Ye He K Qibla Rukh Khada Hokar Magrib Tak Waqoof Kare Aur Haath Uthakar Duae’N Karta Rahe, Agar Poora Waqt Khada Na Ho Sake To Jis Qadar Bhi Khada Reh Sakta Ho Khada Rahe, Fir Beth Jaye, Fir Jab Quvvat Ho Khada Ho Jaye Aur Poore Waqt Me Khushu Khuzu Aur Giryawzari Ke Saath Zikrullah, Dua, Astagfaar Me Mashgool Rahe, Aur Thode Thode Waqt Me Talbiya Padhta Rahe,
✯ Aur Dini V Duniyavi Maqsad Ke Liye Apne Waaste, Apne Mutallikeen V Ahbaab Ke Waaste, Khaskar Un Logo Ke Waaste Jinhone Dua Ke Liye Darkhwast Ki He Aur Tamaam Musalmano Ke Liye Duae’N Maange,
Ye Waqt Qubiliyate Dua Ka Khaas Waqt He Aur Hamesha Naseeb Nahi Hota, Is Din Bila Zarurat Aapas Ki Jaa’Iz Guftgu Se Parhez Kare, Poora Waqt Duao’N, Zikrullah Me Sarf Kare,
☞ Arafaat Se Muzdalfa Rawangi ✦
✯ Muzdalfa Arafaat Se Waapas Makka Mukarrama Ki Taraf 3 Meal Ke Faasle Per He, Aftaab Guroob Hote Hi Muzdalfa Ke Liye Rawana Ho Jaye, Raaste Me Zikrullah Aur Talbiya Padhta Rahe,
✯ Is Roz Hujjaj Ko Magrib Ki Namaz Arafaat Ya Raaste Me Padhna Jaa’Iz Nahi,
⇨ Waajib Ye He K Magrib Ko Moakhar Karke Isha Ke Waqt Namaze Isha Ke Saath Padhe,
✯ Muzdalfa Pahunchkar Avval Magrib Ke Farz Padhe Aur Foran Baad Isha Ke Farz Padhe, Magrib Ki Sunnate, Isha Ki Sunnate Aur Vitr Baad Me Padhe,
⇨ Muzdalfa Me Magrib V Isha Dono No Namaze Ek Azaan Aur Ek Aqamat Se Padhi Jaye Aur Muzdalfa Me Dono Namazo Ko Ikattha Padhne Ke Liye Jama’At Shart Nahi, Tanha Ho Tab Bhi Ikattha Karke Padhe,
✯ Agar Magrib Ki Namaz Arafaat Me Ya Raaste Me Padhli To Muzdalfa Pahunchkar Isko Dohrana Waajib He,
⇨Agar Isha Ke Waqt Se Pehle Muzdalfa Pahunch Gaya To Abhi Magrib Ki Namaz Na Padhe, Isha Ke Waqt Ka Intezar Kare Aur Is Ha Ke Waqt Dono Namazo Ko Ikattha Padhe,
✯ Muzdalfa Ki Raat Me Jaagna Ibaadat Me Mashgool Rahna Mustahab He, Aur Is Raat Muzdalfa Me Rahna Sunnat Mokada He,
✯ Bahut Se Log Waqt Se Pehle Hi Fajar Ki Azaan Dekar Namaze Fajar Muzdalfa Me Padh Kar Mina Ko Chale Jate He’N,
⇨ Avval To Waqt Se Pehle Namaz Nahi Hogi, Doosra Waqoofe Muzdalfa Chhodne Ka Gunaah Hota He, Jo Waajib He Aur Dam Bhi Waajib Hota He,
✯ Albatta Agar Aurat Hujoom Ki Vajah Se Muzdalfa Me Na Thehre, Sidhi Mina Chali Jaye To Uske Liye Gunzaish He, Us Per Dam Waajib Nahi Hoga, Lekin Mard Ke Liye Jaa’Iz Nahi,
✯ Muzdalfa Me Raat Guzaarna Sunnate Mokada He Aur Subeh Sadiq Ke Baad Muzdalfa Me Rehna Waajib He, Waajib Ke Chhoot Jane Se Dam Waajib Hota He,
☞ Hajj Ke 5 Din, Teesra Din – 10 Zilhijja – Kist -1 ✦
✯ Zilhijja Ki 10 Vi Tareekh Me Hajj Ke Chand Ahkaam Me Pehla Hukm Waqoofe Muzdalfa He Jo Waajib He, Iska Waqt Tulu Fajar Se Tulu Aftaab Tak He,
✯ Agar Koi Shakhs Tulu Fajar Ke Baad Thodi Der Thehar Kar Mina Chala Jaye. Tulu Aftaab Ka Intezar Na Kare To Bhi Waajib Waqoof Ada Ho Gaya,
⇨ Waajib Ki Adaaygi Ke Liye Itna Kaafi He K Namaze Fajar Muzdalfa Me Padh Le, Magar Sunnat Yahi He K Tulu Aftaab Se Kuchh Pehle Tak Thehre,
☞ Hajj Ke 5 Din, Teesra Din – 10 Zilhijja – Kist -2 ✦
✯ Muzdalfa Ke Maidan Me Jaha Chahe Waqoof Kar Sakta He, Sivaye Waadie Muhassir Ke Jo Mina Ki Jaanib Muzdalfa Se Bahar Wo Jagah He Jaha Ashabe Feel Per Azaab Aaya Tha,
✯ Afzal Ye He K Jabale Quzah Ke Qareeb Waqoof Kare,
⇨ Agar Rash Ki Vajah Se Waha Pahuchna Mushkil Ho To Muzdalfa Me Jis Jagah Thehra He Wahi Subeh Ki Namaz Andhere Me Padh Kar Waqoof Kare,
✯ Is Waqoof Me Bhi Talbiya, Takbir, Tehleel Aur Tauba V Astagfar Aur Dua Kasrat Se Kare,
☞ Muzdalfa Se Mina Rawangi ✦
✯ Jab Suraj Tulu Hone Me 2 Raka’At Ada Karne Ke Baqadr Waqt Reh Jaye To Muzdalfa Se Mina Ke Liye Rawana Ho Jaye ,Iske Baad Talheer Karna Khilafe Sunnat He ,
✯ Aur Behtar Ye He K Rami Ke Liye Kankriya Chane Ya Khajoor Ki Guthliyo Ke Barabar Muzdalfa Se Uthakar Saath Le Jaye ,Varna Kahi Se Bhi Uthale ,
☞ Jamrah Uqba ( Bada Shaitan ) Ki Rami Karna ✦
✯ Mina Pahunchkar Sabse Pehla Kaam Jamrah Uqba Ki Rami Karna He ,
✯ Mina Me 3 Sutoon Ounche Bane Hue He’N ,Inko ” Jamaraat ” Aur Ek Ko ” Jamrah ” Kaha Jata He ,
⇨ In Me Se Jo Jo Masjide Khayf Ke Qareeb He Usko Jamrah Avla Aur Uske Baad Wale Ko Jamrah Vasati Aur Uske Baad Wale Ko Jo Sabse Akhir Me He Jamrah Uqba Kehte He’N ,
✯ In Sutoono Ke Gird Ghera Bana Hua He ,Isme Kankriya Fenkne Ko Rami Kehte He’N,
⇨ 10 Vi Tareekh Ko Sirf Jamrah Uqba ( Bada Shaitan ) Ki Rami Hoti He,
Jab Mina Pahunche To Pehle Aur Doosre Jamrah Ko Chhodkar Sidha Jamrah Uqba Per Jaye Aur Usko 7 Kankriya Maare ,Aur Pehli Kankri Ke Saath Ho Talbiya Padhna Khatm Kar De ,
✯ Rami Karte Hue Har Kankri Ke Maarne Ke Waqt Takbeer Aur Dua ( Agar Yaad Ho ) Padhe ,Takbeer Ke Bajaye ” Subhanallah ” Ya ” Laa Ilaha Illallah ” Padhna Bhi Jaa’Iz He ,Lekin Zikr Karna Bilkul Na Chhode ,
☞ Kankriya Maarne Ka Waqt ✦
✯ Pehle Din 10 Zilhijja Ko Sirf ” Jamrah Uqba ( Bada Shaitan) ” Ki Rami Ki Jati He, Iska Waqt Subeh Sadiq Se Shuru Hota He, Magar Tulu Aftaab Se Pehle Rami Karna Khilafe Sunnat He,
⇨Masnoon Waqt Tulu Aftaab Se Zawal Tak He, Zawal Se Guroob Tak Bila Karahat Aur Guroob Se Agle Din Subeh Sadiq Tak Karahat Ke Saath Jaaiz He,
⇨ Agar Koi Uzr ( Aurte, Bachche, Bimar, Kamjor) Ho To Guroob Ke Baad Bhi Bila Karahat Jaaiz He,
✯ 11 Vi Or 12 Vi Zilhijja Ki Rami Ka Waqt Zawal Ke Baad Se Shuru Hota He, Guroob Aftaab Tak Bila Karahat Aur Guroob Se Subeh Sadiq Tak Karahat Ke Saath Jaa’Iz He,
⇨ Magar Aaj Kal Hujoom Ki Vajah Se Guroob Ke Pehle Rami Na Kar Sake To Guroob Ke Baad Bila Karahat Jaa’Iz He,
✯ 13 Vi Tareekh Ki Rami Ka Masnoon Waqt To Zawal Ke Baad He Lekin Subeh Sadiq Ke Baad Zawal Se Pehle Is Din Ki Rami Karna Imam Abu Hanifa R A Ke Nazdeek Karahat Ke Saath Jaa’Iz He,
✯ Bimar Ya Kamjor Aadmi Ka Doosre Se Rami Karana Jaa’Iz He,
☞ Rami Tark Karne Se Dam Waajib Hota He ✦
✯ Jo Log Khud Rami Kar Sakte Hen, Bahut Se Log Unki Taraf Se Bhi Nyabta Rami Kar Dete ‘He’ N, Ye Durust Nahi He, Is Tarah Karne Se Rami Chhodne Ka Gunaah Hota He Aur Dam Waajib Hota He,
✯ Guroobe Aftaab Ke Baad Wo Log Rami Karle Jo Bheed Aur Rash Ki Vajah Se Doosro Ko Naayab Bana Dete ‘He’ N, ‘Aurto’ N Ko Raat Me Rami Karade, Isse Takleef Na Hogi,
⇨ Agar Kisi Ne Subeh Sadiq Tak Bhi Rami Nahi Ki To Qaza Hogi, 11 Vi Tareekh Ko Uski Qaza Bhi Kare Aur Dam Bhi De,
☞ Haaji Per Eid Ki Qurbani Ka Hukm ✦
✯ Eid Ki Jo Qurbani Sahibe Nisab Per Waajib Hoti He Uska Hukm Haajiyo Ke Bare Me Ye He K Unme Se Jo Shakhs Hajj Se Pehle Makka Muazzama Me 15 Din Ya Isse Zyada Ki Niyat Karke Muqeem Tha Aur Wo Hajj Ke Ahkaam Ada Karne Ke Liye Mina Aur Arafaat Aaya He To Us Per Wo Doosri Qurbani Bhi Waajib He, Lekin Uska Mina Ya Haram Me Hona Zaruri Nahi, Agar Apne Watan Me Kara De Tab Bhi Durust He,
✯ Aur Jo Shakhs Makka Muazzama Me 15 Din Ya Isse Zyada Ki Niyat Karke Muqeem Nahi Tha Balki 15 Din Se Kam Muddat Makka Me Rehkar Mina V Arafaat Ke Liye Rawana Ho Gaya To Us Per Wo ( Eid Ki) Qurbani Waajib Nahi,
✯ Qarin Aur Mutamatta Per Qurbani Waajib He Yani Ek Bakri Ya Bhed Ya Dumba Jiski Umar Kam Se Kam 1 Saal Ho Zibah Kare,
Ya 5 Saala Ount Ya 2 Saala Gaay Me Saatva Hisaa Le Le,
✯ Tamatto Aur Qiraan Ki Qurbani Hudoode Haram Me Hona Waajib Aur Mina Me Hona Afzal He,
☞ Qurbani ✦
✯ Jamrah Uqba Ki Rami Se Farig Hokar Bator Shukriya Hajj Ki Qurbani Mufarrid Ke Liye Mustahab He Aur Qarin Aur Mutamatta Per Waajib He,
✯ Mufarrid Ne Agar Qurbani Se Pehle Halaq Ya Kasr Kara Liya Aur Uske Baad Qurbani Ki To Us Per Dam Vagera Waajib Nahi, Albatta Uske Liye Rami Zibah Se Pehe Aur Zibah Halaq Ya Kasr Se Pehle Mustahab He Aur Rami Halaq Ya Kasr Se Pehle Waajib He,
⇨ Aur Qarin Aur Mutamatta Per Rami Aur Zibah Halaq Ya Kasr Se Pehle Waajib He,
✯ Jo Shakhs Zibah Karna Jaanta Ho Uske Liye Apne Haath Se Zibah Karna Afzal He Aur Agar Zibah Karna Na Jaanta Ho To Zibah Ke Waqt Qurbani Ke Paas Khada Hona Mustahab He,
⇨ Agar Zibah Ki Jagah Hazir Bhi Na Ho Aur Doosre Se Zibah Kara De To Ye Bhi Durusr He,
☞ Haaji Per Eid Ki Qurbani Ka Hukm ✦
✯ Eid Ki Jo Qurbani Sahibe Nisab Per Waajib Hoti He Uska Hukm Haajiyo Ke Bare Me Ye He K Unme Se Jo Shakhs Hajj Se Pehle Makka Muazzama Me 15 Din Ya Isse Zyada Ki Niyat Karke Muqeem Tha Aur Wo Hajj Ke Ahkaam Ada Karne Ke Liye Mina Aur Arafaat Aaya He To Us Per Wo Doosri Qurbani Bhi Waajib He, Lekin Uska Mina Ya Haram Me Hona Zaruri Nahi, Agar Apne Watan Me Kara De Tab Bhi Durust He,
✯ Aur Jo Shakhs Makka Muazzama Me 15 Din Ya Isse Zyada Ki Niyat Karke Muqeem Nahi Tha Balki 15 Din Se Kam Muddat Makka Me Rehkar Mina V Arafaat Ke Liye Rawana Ho Gaya To Us Per Wo ( Eid Ki) Qurbani Waajib Nahi,
✯ Qarin Aur Mutamatta Per Qurbani Waajib He Yani Ek Bakri Ya Bhed Ya Dumba Jiski Umar Kam Se Kam 1 Saal Ho Zibah Kare,
Ya 5 Saala Ount Ya 2 Saala Gaay Me Saatva Hisaa Le Le,
✯ Tamatto Aur Qiraan Ki Qurbani Hudoode Haram Me Hona Waajib Aur Mina Me Hona Afzal He,
☞. Agar Qurbani Ki ‘Isteta’At Na Ho? ✦
✯ Agar Koi Mutamatta Ya Qarin Paisa Na Hone Ki Vajah Se Qurbani Na Kar Sake To Wo Iske Badle 10 Roze Rakhe,
⇨ Lekin Shart Ye He K 3 Roze 10 Vi Zilhijja Se Pehle Pehle Aur Ahraam Ke Baad Rakhe Ho, Aur Hajj Ke Mahine Me Yani Yani Shawal, ‘Zilqa’Ada, Zilhijja Me Rakhe Ho,
Aur 7 Roze Ayyame Tashreeq Guzar Jane Ke Baad Rakhe, Chahe Makka Me Rakhe Chahe Kisi Aur Jagah, Lekin Ghar Aakar Rakhna Afzal He,
✯ Agar Kisi Qarin Ya Muttama Ne 10 Vi Tareekh Se Pehle Se Pehle Ye Teeno Roze Nahi Rakhe To Ab Qurbani Hi Karni Padegi,
⇨Agar Us Waqt Qurbani Ki Qudrat Nahi He To Sar Mundakar Ya Baal Katakar Ahraam Se Nikal Jaye, Lekin Jab Maqdoor Ho Jaye To Ek Dam Qiraan Ya Tamatto Ka Aur Ek Dam Zibah Se Pehle Halaal Hone Ka De De, Yani 2 Qurbaniya De, Aur Agar Ayyame Nahar Ke Baad Zibah Kare To Teesra Dam Ayyame Nahar Se Moakhhar Karne Ka Laazim Hoga,
☞ Halaq. Aur. Qasar Ka Bayan ✦
✯ Halaq Sar Mundane Ko Aur Qasar Baal Katane Ko Kehte He,
✯ Ahraam Umrah Ka Ho Ya Hajj Ka Ya Dono Ka Ek Saath Baandha Ho, Har Soorat Me Halaq Aur Qasar Hi Ke Zariye Ahraam Se Nikalna Mumkin Hoga, Jab Tak Halaq Ya Qasar Na Karega Ahraam Se Nahi Niklega,
✯ Agar Sile Hue Kapde Halaq Ya Qasar Se Pehle Pehan Liye Ya Sar Ke Alawa Kisi Aur Jagah Ke Baal Moond Le Ya Nakhoon Kaat Le Ya Khushbu Laga Le, To Jaza Waajib Hogi,
☞ Qurbani Ka Waqt ✦.
✯ Qurbani 10 Vi, 11 Vi, 12 Vi Tareekho Me Se Kisi Tareekh Me Karna Laazim He, 12 Vi Ka Suraj Guroob Hone Se Pehle Pehle Qurbani Kar De,
✯ Lekin Tamatto Aur Qiraan Wala Jab Tak Qurbani Na Kare Us Waqt Tak Usko Sar Mundana Ya Baal Katana ‘Jaa’Iz Nahi, Agar Esa Karega To Ek Dam Waajib Hoga, Jo Hajj Ki Qurbani Ke Alawa Hoga,
✯ Kisi Vajah Se 10 Vi Tareekh Ko Qurbani Na Kar Sake To 11, 12 Ko Kar Le, Lekin Qiraan Ya Tamatto Me Baal Mundana Ya Katrana Qurbani Ke Baad Hi Hoga, Isko Khoob Samajh Lena Chahiye,
☞ Halaq Aur Qasar Ka Waqt ✦
✯ Umrah Karne Wala Shakhs Jab Umrah Ki ‘Sa’I Se Farig Ho Jaye Halaq Ya Qasar Kara Le, Aur Hajje Afraad Wala Aur Tamatto Wala ( Jisne 8 Tareekh Ko Makka Se Hajj Ka Ahraam Baandha Tha Aur Isse Pehle Umrah Karke Farig Ho Chuka Tha ) Aur Qarin, Ye Teeno 10 Vi Tareekh Ko Mina Me Rami Aur Qurbani Ke Baad Halaq Ya Qasar Karaye,
✯ Agar 12 Vi Tareekh Ka Suraj Guroob Hone Se Pehle Tak Halaq Ya Qasar Ko Moakhhar Kar De To Ye Bhi ‘Jaa’Iz He, 12 Vi Tareekh Ka Suraj Guroob Hone Ke Baad Halaq Ya Qasar Karenge To Dam Waajib Hoga Aur Ye Bhi Jaanna Chahiye K Halaq Ya Qasar Haram Hi Me Hona Waajib He, Agar Haram Ke Bahar Kiya To Iski Vajah Se Ek Dam Waajib Hoga,
⇨ Jiska Sirf Hajj Ka Ahraam Ho Yani Mufarrid Ho Wo 10 Tareekh Ko Rami Karne Ke Baad Halaq Ya Qasar Kara Sakta He Kyuki Qurbani Us Per Waajib Nahi, Mustahab He, Agar Wo Mustahab Per Amal Karta He To Behtar He K Qurbani Ke Baad Halaq Ya Qasar Karaye,
☞ Halaq Aur Qasar Ka Tareeqa ✦
✯ Qibla Rukh Bethkar Sar Ke Baal Mundaiye Ya Katwraiye, Apni Daayi Janib Se Sar Mundana Ya Katarwana Shuru Kare,
✯ Chothai Sar Ke Baal Moond Dena Ya Chothai Sar Ke Baal Kam Se Kam Ungli Ke Ek Pore Ke Barabar Kaat Dena Ahraam Se Nikalne Ke Liye Waajib He, Isse Kam Mmundwana Ya Kaatne Se Ahraam Se Nahi Niklega,
⇨ Umrah Aur Hajj Dono Me Ek Hi Hukm He, Afzal Ye He K Poore Sar Ke Baal Mundwade,, Agar Na Mundwaye To Poore Sar Ke Baal Ungli Ke Ek Pore Ke Baqadr Katwade, Kuchh Mundwana,
✯ Kuchh Chhod Dena Mamnoo He, Lihaza Poora Sar Mundwaye Ya Poore Sar Ke Baal Ungli Ke Ek Pore Ke Baqadr Katwaye Taki Sunnat Ke Khilaf Na Ho,
✯ Aurat Ke Liye Sar Mundwana Haraam He, Wo Ek Pore Ke Baqadr Baal Katakar Hi Ahraam Se Nikal Sakti He, Magar Kam Se Kam Chothai Sar Ke Baal Ek Pore Ke Baqadr Zarur Katwa Le,
⇨ Halaq Aur Qasar Karwane Ke Baad Haaji Ke Liye ‘Mamnu’Aat Ahraam Ki Pabandi Khatm Ho Jati He, Albatta Miya Bivi Wale Khaas Tallukaat Halaal Nahi Hote, Wo Tawafe Ziyarat Ke Baad Halaal Hote ‘He’N,
☞ Tawaafe Ziyarat ✦
Mina Me Rami, Zibah Aur Halaq Ya Qasar Karane Ke Baad Makka Muazzama Jaakar Tawaafe Baitullah Kare, Ye Tawaaf Hajj Ke ‘Fara’Iz Me Se He, Jisko Tawaafe Rukn Aur Tawafe Ziyarat Kehte ‘He’N,
✯ Iska Avval Waqt 10 Vi Zilhijja Ki Subeh Sadiq Tulu Hote Hi Shuru Hota He,, Isse Pehle ‘Jaa’Iz Nahi,
⇨Aur Tawafe Ziyarat 10,11,12 Teeno Dino Me Ho Sakta He, Albatta 10 Vi Zilhijja Ko Ada Kar Lena Afzal He, Aur Jab 12 Vi Zilhijja Ka Aftaab Guroob Ho Gaya To Iska Waqt Khatm Ho Gaya, Ab Agae Tawaf Karega To Tawaf Ada Nahi Hoga Lekin Ek Dam Waajib Hoga,
✯ Agar Kisi Ne Tawafe Qadoom Ke Saath Hajj Ki ‘Sa’I Kar Li Thi To Ab Tawafe Ziyarat Me Ramal Na Kare Aur Agar Us Waqt ‘Sa’I Nahi Ki Thi To Ab Tawafe Ziyarat Ke Baad ‘Sa’I Kar Le Aur Shuru Ke Teen Chakkaro Me Ramal Bhi Kare,
☞ Tawafe Ziyarat Ke Baad Mina Waapsi ✦
✯ 10 Vi Tareekh Ko Tawaafe Ziyarat Ke Baad Mina Waapas Aa Jaye Aur 11, 12 Vi Shab Mina Me Guzaare, Aur In Dono Dino Me Zawaal Ke Baad Teeno Jamraat ( Teeno Shaitan) Ki Rami Kare,
✯ 10 Tareekh Ko Tawafe Ziyarat Na Kiya Ho To 11 Vi, 12 Vi Tareekh Me Se Kisi Waqt, Raat Ko Ya Din Ko Makka Muazzama Jaakar Tawaaf Kar Le,
. ☞ 4 Tha Din -11 Zilhijja. ✦
✯ Agar Qurbani Ya Tawafe Ziyarat Kisi Vajah Se 10 Tareekh Ko Nahi Kar Saka To 12 Vi Ko Kar Le, Zawal Ke Baad Teeno Jamaraat Ki Rami Kare, Zawal Se Pehle Durust Nahi,
✯ Is Din Ki Rami Ka Mustahab Waqt Zawal Ke Baad Shuru Hokar Guroob Tak He, Guroob Ke Baad Makrooh He, Magar 12 Tareekh Ko Subeh Tulu Hone Se Pehle Pehle Kar Li Jaye To Ada Jo Jati He, Dam Dena Nahi Padta,
⇰Aur Agar 12 Vi Tareekh Ki Subeh Ho Gayi To Ab 11 Vi Tareekh Ki Rami Ka Waqt Khatm Ho Gaya, Iski Qaza Aur Jaza Dono Laazmi Hogi, Yani 12 Vi Tareekh Ko Us Din Ki Rami Bhi Kare Aur 11 Vi Ki Qaza Bhi Kare Aur Dam Bhi De,
. ☞. 11 Zilhijja Ko Rami Ka Tareeqa ✦
✯ 11 Vi Tareekh Ki Rami Is Tarah Kare K Pehle Jamrah Avla Per Saat Kankriya Is Tareeqe Se Maare Jis Tarah 10 Vi Tareekh Ko Jamrah Uqba Ki Rami Kar Chuka He,
✯ Isse Faarig Hokar Majma Se Hatkar Qibla Rukh Khada Hokar Haath Uthakar Dua Kare, Itni Der Thehre Jitni Der Me 20 ‘Raka’Ate Padhi Ja Sake, Is Waqfe Me Takbeer, Tehleel, Astagfar Aur Darood Sharif Me Mashgool Rahe, Apne Aur Apne Ahbaab Aur Aam Musalmano Ke Liye Dua Kare, Ye Bhi Qubuliyat Ka Maqaam He,
Iske Baad Jamrah Vasati Per Aaye Aur Usi Tarah Saat Kankriya Maare, Aur Majma Se Hatkar Qibla Rukh Hokar Dua V Astagfar Me Kuchh Der Mashfool Rahe,
✯Fir Jamrah Uqba Per Aaye, Saat Kankriya Maare Aur Iske Baad Dua Ke Liye Na Thehre, Kyuki Yaha Dua Ke Liye Theharna Sunnat Se Saabit Nahi,
⇰Albatta Yaha Se Waapis Hokar Chalte Hue Dua Maang Le,
✯11 Vi Tareekh Ka Kaam Poora Ho Gaya Baqi Avqaat Apni Jagah Per Mina Me Guzaare,
. ☞ Paanchva ( 5 Va) Din – 12 Zilhijja ✦
✯ Is Din Ka Kaam Teeno Jamraat Ki Rami Karna He, Zawal Ke Baad Teeno Jamraat Ki Rami Kare, Jis Tarah 11 Vi Tareekh Ko Ki,
✯ 12 Vi Tareekh Ki Rami Ka Masnoon Waqt Zawal Se Guroob Tak He Aur Guroob Se Lekar Subeh Sadiq Tak Waqte Makrooh He, Magar ‘Aurto’N Aur Kamzoro Ke Liye Makrooh Nahi, Aur Zawal Se Pehle Is Din Ki Rami Bhi Durust Nahi,
⇰Agar Ab Tak Qurbani Na Ki Ho Ya Tawafe Ziyarat Nahi Kiya Ho To Is Din Suraj Guroob Hone Se Pehle Zaroor Kare Aur Aaj Ki Rami Bhi Kare,
☞. 13 Zilhijja Ki Rami Aur Makka Muazzama Waapsi ✦
✯ 12 Tareekh Ko Rami Karne Ke Baad 13 Vi Tareekh Ki Rami Kar Le, Mina Me Mazeed Qayaam Karne Ya Na Karne Ka Akhtyar He, Agar Chahe To 12 Tareekh Ki Rami Se Faarig Hokar Makka Muazzama Ja Sakta He, Ba Sharte K Guroob Se Pehle Mina Se Nikal Jaye, Agar 12 Tareekh Ko Suraj Mina Me Guroob Ho Gaya To Ab Nikalna Makrooh He, Ab Mina Me Qayaam Kare, 13 Vi Tareekh Ko Rami Karke Makka Muazzama Jaye,
✯ Afzal Yahi He K 12 Vi Tareekh Ko Rami Ke Baad Guroob Se Pehle Jana ‘Jaa’Iz Hone Ke Bavjood Khud Apne Iraade Se Raat Ko Waha Thehre Aur Subeh Ko Zawal Ke Baad Teeno Jamraat Ki Rami Karke Makka Muazzama Jaye,
✯12vi Aur 13 Vi Ki Rami Karke Makka Muazzama Aa Jaye Aur Makka Muazzama Se Rawana Hone Tak Amaale Saleha Me Mashgool Rahe, Khususan Tawaaf Kasrat Se Kare Aur Chahe To Umrah Karta Rahe, Lekin Zyada Tawaaf Karna Zyada Umrah Karne Se Behtar He,
⇰ Aur Jo Umrah Kare 13 Tareekh Ke Baad Kare,
☞ Taeaafe Vida ✦
✯ Miqaat Se Bahar Rehne Walo Per Waajib He K Tawaafe Ziyarat Ke Baad Rukhsati Ka Tawaaf Bhi Kare ,Is Tawaaf Ko Tawaafe Vida Kehte He’N, Aur Ye Hajj Ka Akhri Waajib He Aur Isme Hajj Ki Teeno Qisme Barabar He Yani Har Qism Ka Hajj Karne Wale Per Waajib He ,Albatta Ye Tawaaf Ahle Haram Aur Hudoode Miqaat Ke Andar Rehne Walo Per Waajib Nahi.
✯ Agar Tawaafe Vida Kar Lene Ke Baad Kisi Zarurat Se Makka Me Qayaam Kare To Rawana Hote Waqt Tawaafe Vida Dobara Karna Mustahab He ,
✯Tawaafe Vida Ke Baad 2 Raka’At Namaz Padhe ,Fir Qibla Rukh Hokar Zam Zam Ka Pani Piye ,Fir Haram Se Rukhsat Ho ,
⇰Is Moqe Per Koi Khaas Dua Masnoon Nahi ,Jo Chahe Dua Maang Le ,Aur Waapsi Per Hasrat Aur Afsos Kare Aur Baar Baar Aane Ki Dua Kare ,
⇨ Jo Aurat Hajj Ke Sab Arkaan V Wajibaat Ada Kar Chuki Ho Aur Tawaafe Ziyarat Ke Baad Usko Haiz Aa Gaya Aur Abhi Paak Nahi Hui He ,Uska Mahram Rawana Hone Laga To Tawaafe Vida Uske Zimme Waajib Nahi ,Wo Apne Mahram Ke Saath Bager Tawaafe Vida Ke Chali Jaye ,
📓 Fiqhul Ibadaat ,
➻Safa No 383
*📮☞ Next Post Bhahut Jald In Sha Allah*
💢❄💢❄💢❄💢❄💢
No comments:
Post a Comment
Please do not enter any spam link in the comment box.