💖🍥💖🍥 *﷽* 🍥💖🍥
╂─────────────────╂
*★SAWALAAT E RAMZAN ★*
╂─────────────────╂
┗────┯
✧⇝❥ *Agar Koi Mazdur Din Bhar Kam Kare Aur Woh Isi Bahane Se Ye Kahe Ke Me Roza Is Liye Nahi Rakhata Ke Me Din Bhar Kam Karta Hu To Kiya Mazdur Ko Din Bhar Kam Karne Ki Wajah Se Roza Na Rakhane Ki Shariat Me Gunjaish Hai.? Aur Agar Woh Ye Kahe Ke Mujh Se To Roza Rakh Kar Kam Nahi Hota To Uska Kiya Hukm Hai.? Woh Kiya Kare.? Is Surat Me Roze Ko Ahmiyat De Ya Kam Ko.?*
✦⇝Din Bhar Kam Karna Sharan Koi Uzar Nahi Hai. Is Bahane Se Mazdur Ka Roza Chorna Jaiz Nahi Hai, Roza Rakhna Zaruri Hai.
*_✦➛📗┒✦Dini Masail Aur Unka Hal. Safa 148 149._*
*Note- Aise Kaam Karne Wale Ko Chahiye Ke Apne Kaam Me Kuch Kami Kare Aur Allah Ke Ek Aham Farz Ko Adaa Kare Sirf Ek Mahine Ki Tu Baat Hai.*
★★★
*Ek Aadmi Ne Pure Mahe Ramzan Ke Roze Nahi Rakhkhe.To Us Aadmi Ko Ek Mahine Ke Fidye Me Kitne Gehun Dene Lazim Hai,???*
✦⇝Musalman Aaqil Balig Par Ramzan Ke Roze Rakhna Faraz Hai.
Agar Ramzan Me Ye Roze Nahi Rakhhe To Ramzan Ke Bad Uski Qaza Karna Lazim Hai.
Tandurasti Aur Rozo Par Qudrat Ke Bavjud Agar Roze Ke Badle Fidya De Diya To Fidya Qabul Nahi Hoga Rozo Ki Qaza Zaruri Hai.
Albatta Beemari Ya Kamzori Ya Kisi Majhburi Ki Wajah Se Roza Rakhane Par Qudrat Na Ho To Ek Roze Ke Badle Ek Sadqaye Fitar Ki Miqdar Fidye Me Di Jaye.Lihaza Ek Mahina Yani 30 Din Ke Fidye Ki Miqdar 49 Kilo 860 Garam Gehu Hote Hain.Is Liye Itne Gehu Ya Uski Qeemat Sadqa Kiya Jaye.
*_✦➛📗┒✦Fatawa Diniyya Urdu Jild 3 Safa 71._*
*Read and Share With Others*
※☆▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔※☆※
No comments:
Post a Comment
Please do not enter any spam link in the comment box.