🏵🌸🏵🌸 *﷽*🌸🏵🌸🏵
✿ 🕋 *_Hajj Ke FazaiL_* 🕋 ✿
🌸 *posт ղo☞06* 🌸
─━──✿───✿──━─
*✧⇝❥ Hajj Aur Umrah Ki Fazilat_*
✦⇝ Hajj Ki Bahut Badi Fazilat Hai ,Ek Hadees Mai Irshad Hai K Jisne Hajj Kiya Aur Usme Gandi Baate Na Ki Aur Gunaaho Ka Irtkaab Na Kiya To Wo Apne Gunaaho Se ( Paak Ho Kar ) Aisa Lotta {Wapas Ataa} Hai Jaisa Us Din Tha Jabki Apni Maa Ke Pet Se Paida Hua Tha _,"
*_✦➛📗┒✦ Bukhari V Muslim._*
✦⇝ Ek Hadees Mai Irshad Farmaya K Hajj Un Sab Gunaaho Ko Khatm Kar Deta Hai Jo Hajj Se Pehle Hue _,"
*_✦➛📗┒✦Targeeb V Tarheeb._*
✦⇝Hajj Ki Tarah Umrah Bhi Ek Mustaqil Ibaadat Hai Wo Bhi Makka Me Hota Hai, Isme Kaaba Shareef Ka Tawaaf Aur Safa Marva Ke Darmiyan Saee Ki Jati Hai , Umrah Sunnate Moaqada Hai Aur Umrah Karne Walo Ka Bhi Bada Martaba Hai , Hajj Ko Jate Hain To Bahut Se Umrah Karne Ka Moqa Mil Jata Hai ,
✦⇝Huzoor Akram Sallallahu Alaihivasallam Ne Farmaya K Hajj Aur Umrah Karne Wale Allah Ki Baargaah Me Haazir Hone Wale Log Hain ,Unka Martaba Itna Bada Hai K Agar Allah Se Dua Kare To Qubool Farmaye Aur Agar Usse Magfirat Talab Kare To Wo Unko Bakhsh De _,"
*_✦➛📗┒✦ Targeeb V Tarheeb._*
✦➻ Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu Se Rivayat Hai Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam Ne Dua Ki - Aye Allah Hajj Karne Wale Ki Magfirat Farma Aur Jiske Liye Wo Magfirat Ki Dua Karde Uski Bhi Magfirat Farma _,"
*_✦➛📗┒✦Targeeb V Tarheeb._*
*→🌸pαdhє🌸*
*→duѕrσ tαk pαhσchαчє*
No comments:
Post a Comment
Please do not enter any spam link in the comment box.