🌷 ▫ بِسْمِ ٱللهِ ٱلرَّحْمٰنِ الرَّحِيْم ▫ 🌷
🍁 *Aqaaid (Part-1)* 🍁
✺ *Aqaaid:* Aadmi jin Deeni baaton par dil se yaqeen rakhta hai, un ko "Aqaaid" kehte hain.
✺ *Hadees:* Hazrat Umar Raziy Allahu Anhu bayaan karte hain ke ham Rasoolullah ﷺ ki khidmat mein haazir the, ek shakhs ne aa kar Aap ﷺ se daryaaft kiya ke mujhe bataaiye Imaan kya hai? Aap ﷺ ne farmaaya: Imaan yeh hai ke tum Allah ko, us ke farishton ko, us ki kitaabon ko, us ke Rasoolon ko aur Qayaamat ke din ko haq jaano, haq maano aur har achchhi buri tqdeer ko bhi haq jaano, haq maano. [Sahih Muslim: 102]
✺ Islaam mein aqaaid ki bahot ziyaada ahmiyat hai, balke Deen ki bunyaad hi aqaaid par rakhi gai hai, yahi wajah hai ke jab bhi kisi qaum ke aqaaid mein fasaad aur bigaad paida huwa, to un ki islaah ke liye Allah Ta'ala ne Nabi aur Rasool ko mab'oos farmaaya, saare paigambaron ne apni qaum ko aqaaid durust karne aur sahi aqeeda par mazbooti ke saath jame rehne ki daawat di.
✺ Ref: Deeniyat Course book
No comments:
Post a Comment
Please do not enter any spam link in the comment box.