A'oozubiLLAAHi Minash shaitaa-nir Rajeem, BismiLLAAHir Rahmaanir Raheem
AsSALAAMu 'alaikum wa RAHMATullaahi wa BARAKAATuh Bhai
Tajdeed-e-eemaan: Laa-ilaaha-illAL-LAAHu-Muhammadur-RasooluLLAAH
☀ 19th May, 2025
20th Zee-Qada, 1446 Hijri.
"1" Aadmi jab hamesha sach hi bolta hai aur sachchaai hi ko ikhtiyaar
kar leta hai toh ALLAAH ke nazdeek siddique (sachcha) likh diya jaata
hai."{Muslim:6805}
"2" Jo shakhs narmi se mehroom raha woh saari bhalaai se mehroom
raha."{Muslim:6763}
"3" ALLAAH ki qasam ! woh aadmi (kaamil) imaan waala nahein ho sakta, jis ka
padosi us ki sharaaraton se mehfooz na ho."{Bukhaari:6016}
_Source: Deeniyath, Mumbai, Perceptual Calendars (273rd day)_
Sabhi ke liye du'a ki khaas guzarish, Ma-a's-SALAAM.





.jpg)


No comments:
Post a Comment
Please do not enter any spam link in the comment box.