Zakaat Farz Hone Ki Shartein
(1) Musalmaan hona.
(2) Aazaad hona.
(3) Aaqil hona.
(4) Baalig hona.
(5) Nisaab ke baqadr maal ka maalik hona.
(6) Nisaab ka buniyaadi zarooraton aur qarz se khaali hona. (Saahabe Nisaab
par itna qarz na ho ke qarz ada karne ki soorat mein nisaab ke baqadr maal
baaqi na rahe).
(7) Nisaab par qamri (Islaami) saal ka guzar jaana.
📓 [Shaami: 6/452-455, Kutaabuz Zakaat]
❧ Buniyaadi Zaroorat: Rehne ka makaan, pahenne ke kapde, ghar ka
saaz-o-saamaan aur istemaal ki sawaari (gaadi) insaan ki buniyaadi zarooraton
mein daakhil hain.
✍🏼 Ref: Deeniyat Course book
No comments:
Post a Comment
Please do not enter any spam link in the comment box.