Ramzan : Ramzan Ke Liye Nizamul Avqaat
┄─═✧═✧═✧═✧═─┄
Bismillahirrahmanirrahim
┄─═✧═✧═✧═✧═─┄
Ramzan Ke Liye Nizamul Avqaat
Qareebi Rishtedaro Ke Saath Silah-Rehmi Karna
Rozana Rishtedaro se Mulakaat kare, Kam se Kam Hafte Me Ek Din Iske liye Khaas
Kare.
Al-Hadees
Hadees Paak me Aaya Hai Ke Rishtedari Arshe ilaahi ke Saath Latak kar Kehti
Hai ke Jisne Mujhe Joda Allah Usko Jode Aur Jisne Mujhe Kaata Allah Usko
kaate.
Muslim Sharif ,
Janaze Ki Namaz Me Shirkat
Agar Kisi Ka Inteqal Ho Jaye to Janaze ki Namaz me Shirkat kare Ya fir Janaze
ke Saath Chale.
Al-Hadees
Huzoor Akram Sallallahu Alaihivasallam ka irshad Hai Ke Jisne Janaze Me Janaze
ki Namaz Padhi Aur Tadfeen me Shareek Nahi Hua to Usko Ek Kiraat Sawab Milega
Aur Tadfeen Me Shareek Hua, Usko 2 kiraat Sawab Milega.
Kiraat ki Kam se Kam Miqdaar Uhad Pahaad ke Barabar hai.
Muslim Sharif
No comments:
Post a Comment
Please do not enter any spam link in the comment box.