A'oozubiLLAAHi Minash shaitaa-nir Rajeem, BismiLLAAHir Rahmaanir Raheem
AsSALAAMu 'alaikum wa RAHMATullaahi wa BARAKAATuh Bhai
Tajdeed-e-eemaan: Laa-ilaaha-illAL-LAAHu-Muhammadur-RasooluLLAAH
☀ 18th Feburary, 2025
19th Shabaan, 1446 Hijri
"1" Jis se kisi muaamle mein mashwara kiya jaaye, woh us
mein ameen (amaanat-daar ) hai."{Tirmizi:2822}
"2" Rasoolullahﷺ ne aise logon ki daawat khaane se mana farmaaya hai jo
ek doosre par apni shaan oonchi dikhaane ke liye khilaate hain."{Adu
daaood:3754}
"3" ALLAAH ke rasoolﷺ ke chehre par hamesha khushi aur muskuraahat ka asar
rehta tha."{Tabraani kabeer:414}
_Source: Deeniyath, Mumbai, Perceptual Calendars (182nd day)_
Sabhi ke liye du'a ki khaas guzarish, Ma-a's-SALAAM.
No comments:
Post a Comment
Please do not enter any spam link in the comment box.