A'oozubiLLAAHi Minash shaitaa-nir Rajeem, BismiLLAAHir Rahmaanir Raheem
AsSALAAMu 'alaikum wa RAHMATullaahi wa BARAKAATuh Bhai
Tajdeed-e-eemaan: Laa-ilaaha-illAL-LAAHu-Muhammadur-RasooluLLAAH
☀ 18th January, 2025
17th Rajab, 1446 Hijri
"1" Shahed ki makhkhiyon ke pet paane ki cheez (shahed) nikalti hai,
jis ka rang mukhtalif hota hai, jis mein shifa hai logon ke
liye."{Surah-e-nahal:69}
"2" Tum achchhi tarah baat karne aur khaana kihlaane ko laazim pakdo,
tumhaare liye jannat waajib ho jaayegi."{Mustadrak:61}
"3" Logon ke saath un ke martabon ka lihaaz kar ke bartaao kiya karo."{Abu
daaoood:4842}
_Source: Deeniyath, Mumbai, Perceptual Calendars (151st day)_
Sabhi ke liye du'a ki khaas guzarish, Ma-a's-SALAAM.
No comments:
Post a Comment
Please do not enter any spam link in the comment box.