A'oozubiLLAAHi Minash shaitaa-nir Rajeem, BismiLLAAHir Rahmaanir Raheem
AsSALAAMu 'alaikum wa RAHMATullaahi wa BARAKAATuh Bhai
Tajdeed-e-eemaan: Laa-ilaaha-illAL-LAAHu-Muhammadur-RasooluLLAAH
☀ 11th September 2024
7th Rabi-ul-awwal, 1446 Hijri
1 Allah ki qasam ! Duniya aakhirat ke muqaable mein itni si
hai,ke tum mein se koi apni ungli Samandar mein daale, phir nikaale aur
dekhe ke us ungli par kitna Paani Laga hai."(Muslim:7376)
2 Maan baap ke saath achchha sulook karo,aur rishtedaaron,
Yateemon,miskeenon, qareeb waale padoosi, door waale padoosi, paas baithhne
(ya khade rehne) waale shakhs,musaafir aur Apne gulaam baandiyon ke saath
(achchha bartaao karo)."(Sura-e-Nisa:36)
3. Jo shakhs haraam maal ko Apne peechhe (waarison ke liye) Chhodta
hai, to woh us ke liye jahannam ka tosha hi hota hai."(Musnad-e-Ahmad:3672)
_Source: Deeniyath, Mumbai, Perceptual Calendars (22nd day)_
Sabhi ke liye du'a ki khaas guzarish, Ma-a's-SALAAM.
No comments:
Post a Comment
Please do not enter any spam link in the comment box.