A'oozubiLLAAHi Minash shaitaa-nir Rajeem, BismiLLAAHir Rahmaanir Raheem
AsSALAAMu 'alaikum wa RAHMATullaahi wa BARAKAATuh Bhai
Tajdeed-e-eemaan: Laa-ilaaha-illAL-LAAHu-Muhammadur-RasooluLLAAH
☀ 20th September 2024
16th Rabi-ul-awwal, 1446 Hijri
1 Jo shakhs bhooka ho, ya us Ko koi aur zaroorat ho aur woh apni
bhook aur us zaroorat Ko logon se chupaaye rakhe (un ke saamne zaahir kar ke
un se na maange) to Allah Ta'ala ke zimme hai ke us Ko halaal tareeqe se ek
saal ki rozi ata farmaaye."(Sho'abul Imaan:10054)
2 Jo jawaan bhi kisi boodhe shakhs ki budhaape ki wajah se izzat
karta hai, toh Allah Ta'ala us jawaan ke budhaape ke waqt kisi aise shakhs
Ko mutayyan kar deta hai jo us ki izzat karta hai."(Tirmizi:2022)
3. Ba-jamaat namaaz ada karna akele namaaz padhne ke muqaable mein 27
darja ziyaada fazeelat rakhta hai."(Bukhari:654)
_Source: Deeniyath, Mumbai, Perceptual Calendars (31st day)_
Sabhi ke liye du'a ki khaas guzarish, Ma-a's-SALAAM.
No comments:
Post a Comment
Please do not enter any spam link in the comment box.