A'oozubiLLAAHi Minash shaitaa-nir Rajeem, BismiLLAAHir Rahmaanir Raheem
AsSALAAMu 'alaikum wa RAHMATullaahi wa BARAKAATuh Bhai
Tajdeed-e-eemaan: Laa-ilaaha-illAL-LAAHu-Muhammadur-RasooluLLAAH
☀ 18th August 2024
12th Safar, 1446 Hijri
1 Jo log khud bhi kanjoosi karte hain, aur doosaru ko bhi
kanjoosi karne ka hukum dte hain aur jo kuch ALLAAH Ta'ala ne apne fazal se
un ko diya hain us ko chupate hain, hum ne aise na farmaan logon ke liye
zaleel karne wala azaab tayyar kar rakha hain, (Quran:Nisa-37)
2 Jis aadmi ne kisi se kharz liya, phir is ki niyyat kharz ada
karne ki na ho (aur na hi us ne apni zindagi me kharz ada kiya), toh woh
ALLAAH se chor hone ke haalath me milega (Ibn-e-maja:)
3. Woh aadmi kabhi ghareeb aur mohtaaj nahi hota, jo na ziyada kharch
kare aur ba kam, balke beech ki raah ikhtiyaar kare Sho'bul imaan:6569
_Source: Deeniyath, Mumbai, Perceptual Calendars (364th day)_
Sabhi ke liye du'a ki khaas guzarish, Ma-a's-SALAAM.
No comments:
Post a Comment
Please do not enter any spam link in the comment box.