A'oozubiLLAAHi Minash shaitaa-nir Rajeem, BismiLLAAHir Rahmaanir Raheem
AsSALAAMu 'alaikum wa RAHMATullaahi wa BARAKAATuh Bhai
Tajdeed-e-eemaan: Laa-ilaaha-illAL-LAAHu-Muhammadur-RasooluLLAAH
☀ 11th August 2024
5th Safar, 1446 Hijri
"1" Logon par ek zamaana aisa aane waala hai, jis mein aadmi ko yeh
bhi parwaah na rahegi ke jo maal woh le raha hai woh haraam hai ya
halaal."{Bukhaari:2059}
"2" ALLAAH Ta'ala maan baap ki khidmat wa farmaanbardaari aur un ke saath
achchha sulook karne ki wajah se aadmi ki umr badha (barkat ) deta
hai."{Kanzul ummaal:45467}
"3" Har insaan gunehgaar hai aur behtareen gunehgaar woh hain, jo apne
gunaahon se tauba karne waale hain."{Tirmizi:2499}
_Source: Deeniyath, Mumbai, Perceptual Calendars (357th day)_
Sabhi ke liye du'a ki khaas guzarish, Ma-a's-SALAAM.
No comments:
Post a Comment
Please do not enter any spam link in the comment box.