A'oozubiLLAAHi Minash shaitaa-nir Rajeem, BismiLLAAHir Rahmaanir Raheem
AsSALAAMu 'alaikum wa RAHMATullaahi wa BARAKAATuh Bhai
Tajdeed-e-eemaan: Laa-ilaaha-illAL-LAAHu-Muhammadur-RasooluLLAAH
☀ 11th April, 2024
1st Shawwaal, 1445 Hijri
"1" ALLAAH tumhaari aulaad ( ke liye meeraas (inheritance)) ke baare
mein tum ko hukm deta hai ke mard ka hissa 2 aurton ke baraabar
hai."{Surah-e-nisa:11}
"2" Agar tum maaf kardo , dar guzar kardo aur bakhsh do to ALLAAH bahot
bakhshne waala, bada maherbaanhai."{Sura-e-tagaabun:14}
"3" 4 Cheezein khush naseebi ki alaamat hain: 1] nek biwi, 2] kushaada
makaan, 3] nek padosi, 4] umda sawaari."{Musnade ahmed : 4032}
_Source: Deeniyath, Mumbai, Perceptual Calendars (204th day)_
Sabhi ke liye du'a ki khaas guzarish, Ma-a's-SALAAM.
No comments:
Post a Comment
Please do not enter any spam link in the comment box.