Surah Al-Baqarah ki aakhri do aayato ki fazilat
Abdullah ibn masood Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jisne surah Al-Baqarah ki do aakhri aayatein raat mein parh li wo uskey liye kaafi ho jayegi (aafat se bachney ke liye)
Sahih Bukhari, Vol 6, 5009
🤲🤲🤲🤲🤲
*آمَنَ الرَّسُولُ بِمَا أُنزِلَ إِلَيْهِ مِن رَّبِّهِ وَالْمُؤْمِنُونَ كُلٌّ آمَنَ بِاللَّهِ وَمَلَائِكَتِهِ وَكُتُبِهِ وَرُسُلِهِ لَا نُفَرِّقُ بَيْنَ أَحَدٍ مِّن رُّسُلِهِ وَقَالُوا سَمِعْنَا وَأَطَعْنَا غُفْرَانَكَ رَبَّنَا وَإِلَيْكَ الْمَصِيرُ*
*لَا يُكَلِّفُ اللَّهُ نَفْسًا إِلَّا وُسْعَهَا لَهَا مَا كَسَبَتْ وَعَلَيْهَا مَا اكْتَسَبَتْ رَبَّنَا لَا تُؤَاخِذْنَا إِن نَّسِينَاأَوْ أَخْطَأْنَا رَبَّنَا وَلَا تَحْمِلْ عَلَيْنَا إِصْرًا كَمَا حَمَلْتَهُ عَلَى الَّذِينَ مِن قَبْلِنَا، رَبَّنَا وَلَا تُحَمِّلْنَا مَا لَا طَاقَةَ لَنَا بِه،ِ وَاعْفُ عَنَّا وَاغْفِرْ لَنَا وَارْحَمْنَا ،أَنتَ مَوْلَانَا فَانصُرْنَا عَلَى الْقَوْمِ الْكَافِرِينَ*
🤲🤲🤲🤲🤲
✦ Al Quran : Rasool (sallallahu alaihi wasallam) imaan le aaye jo kuch un par unke RAB ki taraf se nazil hua aur momeen bhi sab imaan rakhte hain Allah par aur uske farishton par aur uski kitabon par aur uske Rasoolo par , (aur kahte hain ki) hum uske Rasoolo mein se kisi mein kuch farq nahi karte aur kahte hain ki humne suna aur qubul kiya , Eh hamare RAB hum teri bakhshis chahte hain aur teri hi taraf laut kar aana hai.
*ALLAH Subhanahu kisi shakhs ko uski taqat se zyada takleef nahi deta , achche kaam karega to usko uska fayda milega aur bure karega to usko iska nuqsan hoga
*Eh hamare RABB agar hum bhul jaye ya galti kare to hamari giraft na farma ,
*Eh hamare RABB hum par aisa bhari bojh na daal jaisa tune humse pahle ke logo par daala ,
*Eh hamare RABB hum par wo bojh na daal jisko uthane ki hum mein taqat nahi,
*aur humein maaf kar aur humein bakhsh de aur hum par raham kar.
*Tu hi hamara kaarsaz hai , kaafiro ke muqable mein tu hamari madad farma
🤲🤲🤲🤲🤲
Surah Al-Baqara (2) Verse 285 - 286
No comments:
Post a Comment
Please do not enter any spam link in the comment box.