Ramzan Ke Liye Nizamul Avqaat
☆ Subeh se Shaam Tak Ke Amaal
☞ Fajar Se Zuhar Tak Ke Amaal
✾ 1- Subeh Tahajjud ka Ahatmam karna Chahiye Chahe 2 Raka’ate hi Kyu na ho.
✾ 2- Subeh Savere kam se kam Ek Para Quran Paak ki Tilawat.
✾ 3- Masjid me Jaldi Jaakar Pehli Saf me Bethne ka Ahatmam Aur 2 Raka’at
Sunnat.
✾ 4- Khushu v Khuzu ke Saath 2 Raka’at Farz ka Ahatmam.
✾ 5- Namaz ke baad Tasbihaat Phir Dua ka Ahatmam.
✾ 6- Namaz ke baad Subeh ke Masnoon Azkaar ka Ahatmam.
✾ 7- Suraj Tulu hone tak na Soiye Balki Tulu ke 20 Minutes baad Namaze Ishraak
Padhe, Phir chahe thodi der So jaiye.
✾ 8- Zawaal se Pehle Namaze Chaasht ka Ahatmam.
☞ Zuhar Se Asar Tak Ke Amaal
✾ 1- Masjid me Jaldi Aakar Tahayatul Masjid v Vaju ki 2 Raka’at, Phir Qurane
Paak ki Tilawat Aur Pehli Saf ka Ahatmam.
✾ 2- Zuhar se Pehle ki 4 Raka’at Sunnat Mokada ka Ahatmam.
✾ 3- Khushu Khuzu ke Saath Namaze Zuhar ki 4 Raka’at Farz Ada kare.
(Mobile Ghar Chhodh kar Aaiye)
✾ 4- Namaz ke baad Dua Aur Tasbihaat Aur Namaz ke baad ke Azkaar ka Ahatmam.
✾ 5- Namaz ke baad 2 Raka’at Sunnat Mokada Aur 2 Raka’at Sunnat Ghair Mokada
Ada kare.
✾ 6- Phir Koi kaam ho to Kuchh Der Usse faarig hokar Quran Paak ki Tilawat
kare.
No comments:
Post a Comment
Please do not enter any spam link in the comment box.