Ramazan Sawal aur Jawab: ZAKAT KIS PAR WAJIB?
Zakat kis par wajib hai..?
JAWAB
Øامد Ùˆ مصلیا Ùˆ مسلما
Jis ke paas saal ke shuru aur saal ke akhir me [sade bavan 52.5 tola] ab tola
das gram ka hota hai is hisab se 61.25 sawa aek senthh tola yani 612 gram 360
ml. gram chaandi ho ya 87 gram 480 ml. gram sona, qarzah adaa karne ke baad
bachta ho, us par zakat vajib hai.
Ya sade bavan tola chandi ki qeemat aaj 2 April 2023 ke hisab se india me
Rs:41,760/- ke baqadr zakat ka maal qarza Adaa karne ke baad mavjood ho
to bhi zakat wajib hai.
Masalan 1 tola sona hai aur sirf 50. rs naqad hai aur qarza nahin hai to us
par zakat wajib hai, kyun ke ek tola sona aur 50 rs. ko milaya jaye to chandi
ka nisab ban hi jaata hai.
Ya bechne ke nisab se kam kuchh maal hai aur kuchh naqad paise hain aur kuchh
sona kuchh chandi hai in charon me se kis bhi do ko milaya jaye to chaandi ke
nisab ki qeemat tak qarza adaa karne ke baad pahonch jaata hai, to us par saal
ke khatm par zakat wajib hai, saal ke darmiyan me maal nisab se kam ho jaye to
uska aetibar nahin.
📘Masaile zakat safa 61 ba hawala ahsanul fatawa 4/254 se makhooz.
Online FATAWA Darul uloom deoband
No comments:
Post a Comment
Please do not enter any spam link in the comment box.