Ramazan Masail: ZAKAT KIN CHEEZON ME FARZ AUR KIN CHEEZON ME NAHI?KAL KE MASLE SE RUJOOA
Zakat ka nisab banane me kon, kon si cheezon ko gina jayega aur kon kon see
cheezon ko nahi gina jayega? Yani zakat kin cheezon par farz hai aur kin
cheezon par nahi?
JAWAB
sona, chandi, naqad rupiya aur bechne ki niyyat se khareeda huwa koi bhi
maal, masalan plot,zameen,flat,makan, share, dukan,Kiraye ki amdani ka
wirasat ya hadiye me mila huwa rupiya wagairahin tamam cheezon ki qeemat
lagai jayegi.
Sone chandi ke alawah Har woh cheez jo istemal ki jati hai masalan
fridge,washing machine, oven,har qism ki gadi (car,two wheels, cycle)
mobile,ghar ke bartan, showcash ke bartan, ghar ka furniture, kapade,
imitation jawelery, hifazat ke liye rakhe gaye hathyar, ghar me rakha huwa
khane pine ka zakhirah, istiamal ke hire, moti, parhne ki kitaben wagairah
aur dukan,karkhane, factories ki istiamal ki machineries wagairah zaroorat
ki chezen,Kiraye par dee hui koi bhi cheez makan, dukan,har qism ki gadi par
zakat farz nahi.jo cheez bechne ki niyat se na khareedi ho masalan ayindah
rehne ke liye ya bachchon ko dene ke liye khareeda huwa makan, flat,zameen
wagairah
lihaza nisab banane me is tamam cheezon ko nahi shumar karenge.
📗masail zakat safa 51,61,88
No comments:
Post a Comment
Please do not enter any spam link in the comment box.