ZAKAT AUR SADKA,MAL KE BADHNE KA ZARIYA HAI
Aam taur par log ye samajhte hai ke zakaat
ki adaigi aur sadqa wa khairaat karne se maal ghat jaata hai: lekin Quraan wa
hadees se pata chalta hai ke sadqe se maal ghatt taa nahi; balke badhta hai.
Ek Hadees me Nabi e Akram ï·º ne farmaya: kisi
aadmi kaa maal sadqe ki wajah se kam nahi hota aur jab bhi kisi insaan par
zulm kiya jaye, jis par wo sabar kare to yaqeenann Allaah taalaa uski izzat me
izafa farmate hai, aur jab bhi koi aadmi kisi sawaal kaadarwaza khole ( yaani
bheek mange ) to allaah ta'aalaa uspar ghareebi kaa darwaza khol deta hai. (
Tirmizi 2/58, masnad Ahmad 4/ 231 )
Sawaal ye hai ke dekhne me to jab zakaat yaa sadqa
nikaala jaata hai to maal ghatt taa hua Nazar aata hai phir ye kiun kaha
gaya ke sadqe se maal nahi ghatt taa? iska jawaab ye hai ke sadqe se
bhale hi maal kam hota dikhai deta hai, magar uski wajah se Allaah ta'aalaa ki
taraf se jo barkat hoti hai, chaahe baad me kaarobaar me badhoti ki soorat me
ho, yaa nuqsaanaat aur aafato'n se hifaazat ki soorat me, wo sadqe ki miqdaae
ke muqable me kahi'en zaada hojati hai
Aur tajurbe se bhi ye baat saabit hai ke zakaat
dene waalo'n kaa maal badhta hi rehta hai.
No comments:
Post a Comment
Please do not enter any spam link in the comment box.