ROZAH TODNE WALI CHEEZEN
Rozah kin chizon se faasid ho jata hai?
Øامدا Ùˆ مصلیا Ùˆ مسلما
Wo Cheezen Jinse Rozah Faasid Ho jata hai woh neeche likhi gayi hain
1- Kaan aur Naak me dawa dalna.
2- Qasdan (Jaanbujh kar) moonh bharkar qai (vomit) karna ya moonh bharkar aane
ke baad kuchh hissah qasdan (jaanbujh kar) lauta Lena.
3- Kulli karte huve halaq me paani ka chalaa Jana,(us waqt Roza bhi yaad ho)
4- Aurat ko chhoone aur bosah lene se inzaal ho Jana (mani) nikal jana.
5- Lobaan ya agarbatti ka dhunwa qasdan naak ya halaq me pahunchaana
6- Bidi, cigarette ,huqqah pina
7- Bhool kar khaa pee liya aur khayal kiya k isse Roza toot gaya hoga, fir
janbujhkar kha, pee liya
8- Raat samajhkar subah sadiq ke baad Sahri kha Lena,
9- Din Baaqi tha magar galati se yeh samjha k sooraj guroob ho gaya hai,
iftaar kar liya-kisi taqweem ya app me dekhkar waqt hote hi iftar kar liya
baad me pata chala ghadi aage thi aur sooraj guroob hone me 2 minutes baaqi
thi.(akabireen ke mamool ke khilaf bilkul time hote hee 5 minutes bhi aehtiyat
na kar ke iftar karne ki baat karnewale is se ibrat len)
10 - Koi aisi cheez nigal Jana Jo Aadtan khayi nahi jati, Jaise ke lakdi,
loha, kachcha gehoon ka daana vagerah
11- Baaf (steam, bhaanp) lena,
12- Mushtzani (haath se mani nikalna)
13- damah (asthma) ke mareez ka inhaler pump isteamal karna.
14- munh me paan-gutkha daba kar so jana yahaan tak ke subah sadiq ho jaye.
15- naksir phoote aur naak ka khoon halaq me chala jaye.
16- dant masoodon ka khoon agar itna ziyadah ho ke woh thook par gaalib aa
jaaye ya'ani thuk ko laal kar de ya thook ke baraabar-saraabar ho jaye aur woh
thook pet me chala jaye agar thook me khoon kam ho ya'ani khoon ka mazah halaq
me ma'alum na ho to rozah fasid na hoga
17- aneima lena ya'ani pet ki safai ke liye pichhe ke raste se dawai charhaana
18- mard ki peshab ki nali me koi dawai dali jaye aur woh masaane tak pahonch
jaye. Agar masane (peshab ki theli) tak na pahonche to rozah faasid nahi hoga
19- aurat ka apni sharmgah me koi dawai dalna
20- aurat ki sharmgah me doctorni ka chekup ke liye bhiga huwa ya dawai wala
haath ya machine dalna agar haath ya machine par dawa na ho to rozah faasid na
hoga
21- danton me gosht ka resha, supari wagairah ka tukda atka huwa tha aur
use munh se baahar nikale bagair zuban ya khilal se nikalkar munh ke
andar hi andar nigal liya ya khud bakhud halaq me chala gaya to dekhiye agar
woh cheez chane ki miqdar se zyadah hai ya chane ke barabar hai to rozah
faasid ho gaya agar chane se kam hai to fasid nahin huva agar munh se bahar
nikala phir nigal gaya to har haal me rozah faasid hoga chahe chane ke
baraabar ho ya us se bhi kam ho
No comments:
Post a Comment
Please do not enter any spam link in the comment box.