R A M Z A N - M A S A 'I L -P A R T-1
Agar rozadar bhool kar kuchh kha le ya pee le, ( chahe pet bhar ) tab bhi
Roza nahi toot ta,
Ek shakhs ko kuchh khate peete dekha to agar wo is qadar taaqatwar he k Roza
se zyada takleef nahi hoti ho to usko roza yaad dilana wajib he,Aur agar koi
na taaqat ( kamzor ) ho k Roza se takleef hoti ho to usko yaad na dilaye,
khane peene de,Din me roza ki haalat me so gaye aur neend me esa khwab dekha
k nahane ki zarurat ho gayi to roza nahi toota,"
Din me surma lagana, khushbu sunghna, Tail lagana durust he, isse roza me
koi nuksaan nahi aata chahe jis waqt ho
Mard, Aurat ka saath letna, haath lagana, Bosa lena ye sab durust he, lekin
agar Jawani ka itna josh ho k in baato se sohbat ka dar ho to esa nahi karna
chahiye, Roza ki haalat me makrooh he,
Halaq ke andar Makkhi chali gayi ya Dhua, Gardo gubar chala gaya to roza
nahi gaya, albatta agar qasdan ( jaan boojhkar) esa kiya to roza jata raha,
Loban vagera ki dhooni sulgayi aur fir apne paas rakh kar sungha kiye to
roza jata raha, isi tarah hukka peene se bhi Roza jata raha, albatta kewda,
gulab ke fool ki khusbu ka sungna jisme dhua na ho, durust he
Daa'nto me gosht ka resha ya koi aur cheez atki hui thi, usko khilal kar
nikaal kar kha liya, lekin moonh se bahar nahi nikali, aap hi halaq me chali
gayi to dekho agar chane se kam he to roza nahi toota, aur chane ke barabar
ya usse zyada ho to roza jata raha,Agar moonh se bahar nikaal liya tha aur
uske baad nigal liya to har haal me roza Toot gaya chahe chane ke barabar ho
ya kam, zyada ho
Agar paan khakar khoob kulli gargara karke moonh saaf kar liya lekin thook (
peek) ki surkhi nahi gayi to usse koi harj nahi roza ho jayega
No comments:
Post a Comment
Please do not enter any spam link in the comment box.