NABALIG BACHCHON KE LIYE ROZE KA HUKM?
🍭 Ladka Ladki jab tak balig Na hon un par Roza Farz Nahi he , Lekin Un ke
liye Roza Rakhna jaiz he, Balki unhe Us par sawab milega , Aur ye Roza nafli
Hoga, Agar Roza rakh kar Tod Den to un ke liye Qaza ka Hukm Nahi he.
🥡Lekin jo bachcha 10 saal ka ho jaaye Aur Roze ki taaqat ho to use aadat
dalne ke liye Roze ka Hukm Diya jayega Aur Agar woh Bagair Uzr/wajah ke Roza
chodega to us Ko tanm'beeh (halki fhulki saza) ki jayegi.
🍅Agar bachcha 10 saal se Kam Umar ka ho ya 10/11 saal ki Umar ka ho Aur us Ko
poore maheena Roza Rakhne Ki taaqat Na ho; Balki poore maheena Roza Rakhne se
sakht Takleef Aur Zyadah kamzoor hone ka khatra ho to jitne din Roza Rakhne Ki
taaqat ho sirf utne hi Roza rakhe, Zyadah roze Rakhne ka use Hukm Na hoga.
No comments:
Post a Comment
Please do not enter any spam link in the comment box.