A'oozubiLLAAHi Minash shaitaa-nir Rajeem, BismiLLAAHir Rahmaanir Raheem
AsSALAAMu 'alaikum wa RAHMATullaahi wa BARAKAATuh Bhai
Tajdeed-e-eemaan: Laa-ilaaha-illAL-LAAHu-Muhammadur-RasooluLLAAH
☀ 20th February, 2023
28th Rajjab, 1444 Hijri
"1" Maa baap ki nafarmaani ke alaawa jis gunaah ki saza ko ALLAAH
chaahe toh qayaamat ke din tak moakhkhar (delay) kar deta hai, magar maa
baap ki nafarmaani ki saza maut se pehle duniya hi mein chakha deta
hai."{Mustadrak:7263}
"2" Rasoolullahï·º peene waali cheezon ko 3 saans mein peete the ; is
tarah peene se itminaan haasil hota hai, takleef aur beemaari se hifaazat
hoti hai aur woh cheez khoob hazam ho jati hai."{Muslim:5406}
"3" Sadqa se apne mareezon ka ilaaj kiya karo, kyunke sadqa bimaariyon aur
pesh aane waali museebaton ko door karta hai."{Kanzul ummaal:28178}
_Source: Deeniyath, Mumbai, Perceptual Calendars (184th day)_
Sabhi ke liye du'a ki khaas guzarish, Ma-a's-SALAAM.
No comments:
Post a Comment
Please do not enter any spam link in the comment box.