A'oozubiLLAAHi Minash shaitaa-nir Rajeem, BismiLLAAHir Rahmaanir Raheem
AsSALAAMu 'alaikum wa RAHMATullaahi wa BARAKAATuh Bhai
Tajdeed-e-eemaan: Laa-ilaaha-illAL-LAAHu-Muhammadur-RasooluLLAAH
☀ 17th December, 2022
22nd Rajjab, 1444 Hijri
"1" ALLAAH Ta'ala ne kuch bandon ko logon ki zaroorat poori karne
ke liye paida kiya hai, log un ke paas apni zaroorat le kar jaate hain,
logon ki zaroorat poori karne waale yeh log ALLAAH ke azaab se mehfooz
raheinge."{Tabraani kaber:13334}
2 Aye imaan waalo! mard doosre mardon ka mazaaaq na udhaaein
, ho sakta hai ke woh (jis ka mazaaq udaaya gaya hai) khud un se (mazaaq
udaane waalon se) behtar hon."{Surah-e-hujuraat:11}
"3" Jo dhoka de, woh ham mein se nahein ."{Tirmizi:1315]
_Source: Deeniyath, Mumbai, Perceptual Calendars (119th day)_
No comments:
Post a Comment
Please do not enter any spam link in the comment box.