A'oozubiLLAAHi Minash shaitaa-nir Rajeem, BismiLLAAHir Rahmaanir Raheem
AsSALAAMu 'alaikum wa RAHMATullaahi wa BARAKAATuh Bhai
Tajdeed-e-eemaan: Laa-ilaaha-illAL-LAAHu-Muhammadur-RasooluLLAAH
☀ 25th November, 2022
29th Rabi-us-s'aani, 1444 Hijri
"1" Insaan ke qadam qayaamat ke din Allah ke saamne se us waqt tak
nahi hateinge jab tak ke us se us ki Jawaani ke baare mein Sawaal na kar
liya jaaye ke us ko kahaan kharch Kiya."(Tirmizi:2416)
"2" Agar Insaan ke pass maal-o-daulat ke 2 jungal bhi ho jaaein to woh
teesre ki khwaahish karega aur insaan ka pet to qabr ki mitti hi bhar sakti
hai."(Bukhaari:6436)
"3" Baap ke saath achchhe sulook ka aala darja yeh hai ke us ki wafaat ke
baad us ke Milne julne waalon ke saath achchha sulook kare."(Muslim:6679)
_Source: Deeniyath, Mumbai, Perceptual Calendars (97th day)_
Sabhi ke liye du'a ki khaas guzarish, Ma-a's-SALAAM.
No comments:
Post a Comment
Please do not enter any spam link in the comment box.