A'oozubiLLAAHi Minash shaitaa-nir Rajeem, BismiLLAAHir Rahmaanir Raheem
AsSALAAMu 'alaikum wa RAHMATullaahi wa BARAKAATuh Bhai
Tajdeed-e-eemaan: *Laa-ilaaha-illAL-LAAHu-Muhammadur-RasooluLLAAH
☀ 19th October, 2022
22nd Rabi-ul-awwal, 1443 Hijri
"1" Takleef aur beemaari ki wajah se maut ki aarzoo mat karo, agar tum
yahi chaahte ho, toh is tarah dua karo; Ae ALLAAH! Tu mujhe zinda rakh jab
tak mera zinda rahna mere haq mein behtar ho aur mujhe maut de agar marna
mere haq mein behtar ho."(Bukhaari:5671)
"2" Jis ne doosron ki koi aisi baat chhup kar suni jis Ko woh us se
chhupaana chaahte the,to qayaamat ke din aise shakhs ke kaan mein seesa
pighla kar daala jaayega."(Tirmizi:1751)
"3" Jis ne pahaad se ludhak kar Khudkushi ki woh jahannam mein hamesha
hamesh ludhakta rahega."(Bukhaari:5778)
_Source: Deeniyath, Mumbai, Perceptual Calendars (60th day)_
Sabhi ke liye du'a ki khaas guzarish, Ma-a's-SALAAM.
No comments:
Post a Comment
Please do not enter any spam link in the comment box.