A'oozubiLLAAHi Minash shaitaa-nir Rajeem, BismiLLAAHir Rahmaanir Raheem
AsSALAAMu 'alaikum wa RAHMATullaahi wa BARAKAATuh Bhai
Tajdeed-e-eemaan: *Laa-ilaaha-illAL-LAAHu-Muhammadur-RasooluLLAAH
☀ 29th September, 2022
2nd Rabi-ul-awwal, 1443 Hijri
"1" Hazrat Muhammad peene waali cheezon ko 3 saans mein peete the aur
farmaate the : Aisa karne se itminaan ho jaata hain, takleef aur beemaari se
hifazat hoti hai aur woh (pee hui) cheez khoob hazam hoti hain.
(Muslim:5402)"
"2" (Qayaamat ke din momin ki) Taraazu mein achchhe akhlaaq se bhaari koi
cheez na hogi. (Abu-dawood:4799)"
"3" Jis shakhs ko qasam khaana ho to use chaahiye ke woh ALLAAH (ke naam ya
us ki sifaat) ki qasam khaaye ya chup rahe. (Buqari:6646)"
_Source: Deeniyath, Mumbai, Perceptual Calendars (40th day)_
Sabhi ke liye du'a ki khaas guzarish, Ma-a's-SALAAM.
No comments:
Post a Comment
Please do not enter any spam link in the comment box.