A'oozubiLLAAHi Minash shaitaa-nir Rajeem, BismiLLAAHir Rahmaanir Raheem
AsSALAAMu 'alaikum wa RAHMATullaahi wa BARAKAATuh Bhai
Tajdeed-e-eemaan: *Laa-ilaaha-illAL-LAAHu-Muhammadur-RasooluLLAAH
☀ 26th September, 2022
29th Safar, 1443 Hijri
"1" Qayaamat us waqt aayegi, jab log oonchi oonchi imaaratein banaane
mein aapas mein fakhr karne lagein."(Musnad-e-Ahmad:10858)
"2" (Islaam mein behtareen cheez yeh hai ke) tum (logon ko) khaana khilaao,
aur har ek Ko salaam karo, jis Ko tum Pehchaante ho aur jis Ko tum nahin
jaante."(Bukhaari:6236)
"3" Allah Ta'ala bande ki tauba us waqt tak qabool karte hain, jab tak
ke gargara ki kaifiyat shuru na ho."(Tirmizi:3537)
_Source: Deeniyath, Mumbai, Perceptual Calendars (37th day)_
Sabhi ke liye du'a ki khaas guzarish, Ma-a's-SALAAM.
No comments:
Post a Comment
Please do not enter any spam link in the comment box.