MASAIL-E-MUHARRAM: NAYE ISLAAMI SAAL KI SHARUAAT
NAYE ISLAAMI SAAL KI SHARUAAT (BEGINNING )
Muharram ka mahina islaami saal ka pahla mahina hai, kitne hi padhe_likhe ,
deendaar log aise hai, jinhe islaami saal ke bare me ma'alum hi nahi; jabki
angrezi mahino ke naam aur uski taarikh har kisi ko ma'alum hoti hai, jab jab
angrezi saal ke pehle mahine janwari ki sharuaat hoti hai to woh khushiyaan
bhi manate hai, khoob halla, shor karte hai, esa lagta hai ke woh uss tarikh
se naye saal ki sharuaat karte hai.
Iss mauqe par hamko gaur ye karna hai ke "New-Year" ki uss tarikh par shuruaat
hamne kaha se li? Hamare liye to new-year ki shuruaat MUHARRAMUL_HARAAM ke
ba-barkat mahine se hoti hai ek janwari se nahi, aur kiyu ke ham musalman
zindagi guzarne ke tarike me ek mukammal TA'HZIB(CULTURE) ke maalik hai, is
liye hame gairo ka tariqa nahi apna na chahiye, balke hame islaami tarikh se
islaami saal ka istiqbaal/swagat/welcome karna chahiye.
No comments:
Post a Comment
Please do not enter any spam link in the comment box.