A'oozubiLLAAHi Minash shaitaa-nir Rajeem, BismiLLAAHir Rahmaanir Raheem
AsSALAAMu 'alaikum wa RAHMATullaahi wa BARAKAATuh Bhai
Tajdeed-e-eemaan: *Laa-ilaaha-illAL-LAAHu-Muhammadur-RasooluLLAAH
☀ 22nd August, 2022
23rd Moharram, 1443 Hijri
1 Jis ne doosron ki koi aisi baat chup kar suni jis ko woh us se
chupana chahte the, toh woh qayamat ke din aise shakhs ke kaan mein sheesha
pigla kar daala jayega Tirmizi: 1751
2 Mubarak hain woh shakhs jo mutwaaze (aajizi karne wala) ho, us
ki kamaai achchhi wa pakeezah ho, us ka baatin (dil) nek ho, us ka zaahir
shareefana ho, log us ki buraii se mehfooz hon.Sho'bul imaan: 3388
3. Jab tum bimaar ke paas javo, to us se kaho ke woh tumhaare liye dua
kare, kyon ke us ki dua farishton ki dua ki tarah (qabool hoti) hain
Ibn-e-maja: 1441
_Source: Deeniyath, Mumbai, Perceptual Calendars (2nd day)_
Sabhi ke liye du'a ki khaas guzarish, Ma-a's-SALAAM.
No comments:
Post a Comment
Please do not enter any spam link in the comment box.